Mobile Me Image Par Round Style Number With Arrow Kaise Banaye

Hello friends… Is post me ham aapko image par round style number with arrow kaise lagaye? Ye batane wale hain. Aapne kai sari blog me dekha hoga ki unki image me number and arrow sath me jude hue hote hain. Jis ka istemal vo par cheezon ko step-by-step samajhane ke liye karte hain. Jo ki dekhne me bahut accha lagta hai, aur ek professional look deta hai.

blog-image-with-arrow-with-number-aise-lagaye

Vo sabhi images computer me photoscape software se edit ki jati hai. Magar afsos ki baat ye hai ki android mobile ke liye ek bhi aisa aap nahi hai. Jo aapko number with arrow edit karne ka option deti hai. Or isi wajah se kai phone bloggers ko, blog image par, kisi bat ko point karne me samasyaon ka samana karna padta hai. Or photo editing me samjhaute karne padte hai. Waise to aap android Skitch app se bhi number and arrow laga sakte hain. Lekin yahan apko round style me numbers nahi milenge. Lekin ham apko android me blog image par round style number with arrow kaise lagaye? Isaki trick batane vale hain.

Drow Round Style Number With Arrow Using Mobile

Friends aisa koi android app nahi hai. Jo aapko marge number and arrow feature deta hai. Lekin aisa image banane ke liye ek trick zarur hai. Ham khud bhi apni images par isi trick ka istemal karte hain. Sabse Pehle to aap Photo Editor App download kar lijiye. Uske baad aap open kijiye aur jis image me aapko arrow lagana hai. Us image ko select kijiye.
number-arrow-lagane-ka-tarika-kya-hai
Ab aap scroll right kijiye. Aur Text/Image select kijiye.
image-me-arrows-number-kaise-lagaye
Aap aap Aise waise main pahunch Jayeng. Pahle plus icon (+) pur click kare. Uske baad shape icon par click kare.
photo-me-number-vale-arrow-kaise-lagaye
Ab shape window open ho jayegi. Yahan aapko kuchh options milte hain. Jo apki marji par depend karta hai ki aap karna chahate hai ya nahi.
  1. Sabse pahle arrow shape select kare.
  2. Yahan apne arrow ka colour set kare.
  3. Yahan aap outline set kar sakte hain.
  4. Yahan se shadow set kar sakte hain..
  5. Ab apply kar dijiye.
arrow-ke-sath-number-kaise-lagaye-image-par
Ab Arrow select ho gaya hai. Blue nishan par click karke, aap Thickness, Tail and Round, in teeno ko set kar sakte hain. Ye kar lene ke baad, back ho jaiye.
mobile-me-image-par-number-with-arrow-kaise-set-karte-hai
  1. Pencil icon se aap arrow ko Re-edit kar sakte hain.
  2. Ab fir se + icon par click kijiye.
  3. Aur ab text icon TT par click kijiye.
photo-par-arrow-with-number-kaise-lagate-hai
Ab aap aise page me pahunch Jayenge.
  1. S psr click karke pahle number select kar lijiye. Yahan aapko round style numbers milenge.
  2. Yahan se aap text colour set kar lijiye.
  3. Yahan pe aap text outline color set kar lijiye.
  4. Yahan se text background colour set kar lijiye. Background colour ki opacity 0 hoti hai. Aapko bas ise 100% set karna hai. Arrow colour or background colour same hona chahiye.
  5. Ab apply par click kar dijiye.
round-style-number-with-arrow-kaise-lagaye
Aapka round style number select ho chuka hai.
  1. Ab aap is ≡ icon par click kijiye.
  2. Ab Lock Ratio par click kijiye. Isse chhota-bada karne par akar nahi bigadta.
  3. Aur ab background par click kijiye.
photo-me-number-ke-sath-arrow-kaise-lagaye
Background me click karne ke baad aap ko aise options milenge.
  1. Is option se padding left or right set kar sakte hain.
  2. Yahan Par aap colour set kar sakte hain.
  3. Round par click kar ke, aap number ko round style de sakte hain. Ise 100% par set kar dijiye.
Ab back ho jaiye.
how-to-create-number-with-arrow-on-image
Ab sabse last me, aap number ko arrow ke sath set kar lijiye. Bas ban gaya apka arrow with number.
To friends ab aap samajh gaye honge ki android phone me image par arrow with number kaise lagate hai. Post acchi lagi ho to share Jarur kare.

5 thoughts on “Mobile Me Image Par Round Style Number With Arrow Kaise Banaye”

  1. इस पोस्ट की मुझे बहुत दिनों से खोज रहा था।
    आज मिला।
    थैंक्स फ़ॉर शेयरिंग

    Reply

Leave a Comment