Google search console, sitemap error kaise fix kare.

Hello friends… Is post me ham apko sitemap submit karne ke baad. Agar sitemap error batata hai. To ye error kyu hota hai or ise kaise thik kare. Ye batayenge. Blogspot me blog bana lene baad use google search result me lane ke liye. Ham blog ko Google search console me submit karte hain or fir sitemap submit karte hain. Sitemap kya hai or kaise submit karte hain. Ye hamne Ye hamne is post me bata diya hai. Sitemap submit hona bahut jaruri hai. Kyuki bagair sitemap submit hue. Hamare blog ke post index nahi honge. Or post index nahi hue. To hamare likhe post Google search result me nahin dikhai denge. Lekin agar ap sitemap submit karte hain. Lekin usme apko error show karta hai. To iska matlab hai. Ki apka sitemap thik se submit nahi hua hai. Or ise thik karne ki jarurat hai.

Wapka sitemap kaise generate kare or google webmaster tool me kaise submit Kare।

Sitemap error kyu hota hai:

Jab hamne sitemap submit kiya tha. Tab mera sitemap bhi error show hua tha. Kai sare kosiso ke baad bhi, sitemap fix nahi ho raha tha. Fir hamne google guideline padhi. Jisme ek baat samne aai ki, agar apne, website bina “www” hi google search console me submit kiya hai. To sitemap error ho sakta. Lekin ye bhi koi jaruri nahi. Kyuki hamne or do website bina “www” hi submit kiya. Or fir sitemap submit kiya. Lekin hi dono hi website me, sitemap submit ho gaya. Unme ek bhi error show nahi hua. Iska matalab koi jaruri nahi ki, bina “www” ke website. Google search console me submit ki jaye. To sitemap error hi hoga. Lekin ek or baar gour karne layak thi. Vo ye ki, hamne jo do website (bina “www” ke) submit kiya tha. Vo dono hi website me custom domain nahi lagaya tha. Or mere jis website me sitemap error hua. Us website me custom domain laga hua tha. Custom domain kya hai? Ye janane ke liye. Ye hamne is post me bata diya hai. Or kai baar sab kuchh sahi tarike se karne ke bavjud sitemap error ho jata hai. Kai baar to sitemap submit ho jane ke baad, kai sare pages index ho jane ke baad. Sitemap error show karta hai. Ye bhi batata hai ki sitemap me kitne error hai? Jise thik karna bahut jaruri hai. Taki website ke or post Google index kar sake.

Sitemap error kaise fix kare:

Sitemap error bahut badi problem hai hamare website ke liye. Jise thik karna bahut jaruri hai. Ise thik karne ka do tarika hai. Ye dono hi tarike Blog site or Wapka site ke liye kaargar hai. Pahle tarike se error thik na ho. Tabhi dusra tarika apnaye. To ek-ek kar ke, dono tarike batate hain. 

Pahla tarika:

Pahle Google search console me jaiye. Fir crewel me, uske baad sitemap me jaiye. 

Aisa page aayega. Ab sitemap error show kar raha hai. Usme click kare.

Ab upar dahini taraf Resubmit ka option hoga. Usme click kar dijiye. Fir Refresh the page par click ke check kijiye. Ki sitemap error thik hua ki nahi? Agar abhi error show kar raha hai. To dusra tarika apnaye.

Dusra tarika:

Is tarike me apko sure hona padega. Ki apki website bina “www” ke submit kiya hai ya nahi? Agar apka blog ya website bina “www” ke hai. Or sitemap error check karne par. Apko Sitemap is HTML batata hai. Or pahle tarike se, error thik nahi hua. To apke pas yahi ek upay bacha hai. 
Apko vo blog ya website, Google search console se delete karni hogi. Or fir se submit karna hoga. Ap ek hi blog ko, Google search console se delete kar ke dobara se submit kar sakte hain. Isase koi bhi problem nahi hogi. Website delete karne ke liye. Console homepage par jaiye. 

Jis blog ko delete karna ho. Uske Manage property me click kare. Fir ek pup up khulegi. Usme apko Delete property par click kar ke blog ko delete kar dena hai. Blog delete ho jane ke baad. Fir se Blog ko google search console me submit kar dijiye. Or is “www” ke sath hi, apna blog submit kijiyega. Website ka full address dalna bahut jaruri hai.
Kisi tarah ke confusion hone par, comment kar ke puchhe.

8 thoughts on “Google search console, sitemap error kaise fix kare.”

  1. Mam me google search console pe je ke site map google par sumbit kar raha hu to vha bata raha hay ki go to url and Sumibt site map par mena sitemap sumbit kiya hay Search console pe sucess bhi Ho gaya

    Reply
  2. Apko jo massage show ho raha hai. Vo purane Serach Console ka hai. Apka Sitemap submited hai. To jyada pareshan mat hoiye. "Go to url and Sumibt sitemap" par jakar, new search console me apna sitemap dekh sakte hain.

    Reply
  3. Man mera new Post hay me URL inspection me appna post URL delraha hu to URL is not on Google Ho raha hay phir me request indexing me click kar raha hu to no index Ho raha index issue detected aa raha hay Me abi blogging start kiya hay jab me sitemap me bhi yehi post ke URL sumbit kerta hu to 1error ho take hay

    Reply
  4. Agar URL galat daliyega. To sahi result nahi milega. Sahi URL paste kijiye. URL ke last se "?m=1" hatakar inspection kijiye. Fir bhi problem hone par Facebook page par massage kijiye.

    Reply

Leave a Comment