Google search console me preferred domain save kaise kare. Full method.

Google-search-console-webmaster-tools-preferred-domain-set-kaise-kare

Hello friends… Aj is post me ham apko website SEO ke bare me ek or jaankari dene wale hain. Or vo jaankari hai. Google search console me preferred domain kyu set kare, or kaise set kare. Preferred domain save karne ka matlab, apne blog ya website ke domain ko www ya bina www ke set karna hota hai. Ham apko full method batayenge. Isliye puri post dhyan se padhe. Or tricks follow kare.

Preferred domain kise kehte hain:

Apne dekha hoga kai sari websites hain. Jiske har URL me www laga hota hai. Or kai sari websites aisi bhi hain. Jiske kisi bhi URL me www nahi hota. Sidha domain name hota. Jaisehttp://www.domain.com (with www) or http://domain.com (without www) is setting ko preferred domain setting kahte hain. Apki website www ke sath open hoti hai. Ya bina www ke open hoti hai. Ise ap khud set kar sakte hain preferred domain set kar ke. Ham apko kuchh websites ke naam batate hain. jo with-www or non-www ke khulti hai.

Popular website with www:

  • www.facebook.com
  • www.google.com
  • www.wikipedia.com

Popular website non-www:

Preferred domain kyu set kare:

Agar ap kisi se bhi SEO advice lenge. To vo apko preferred domain setup karne ke liye jarur kahega. Kyunki ye hamare website ke SEO ke liye bahut important hoti hai. Bina preferred domain set kiye. Google search engine robots ye samajh nahi payega ki apke domain ko www ke sath index kare, ya bina www ke index kare. Or is confusion me search engine robots apke website domain ko www ke sath, or bina www ke sath bhi index kar sakta hai. Or is wajah se duplicate content ki problem create ho sakti hai. Jo ki aapke website ke liye bilkul achcha nahi hai. Kyunki search robots dono url ko alag-alag pages samajh leta hai. Jabki vo ek hi page ka url hota hai. Lekin ek page ka url www se start hone se, or dusra wahi page ka url non-www ke hone ke karan duplicate content wali problem create ho jati hai. Agar ap preferred domain (with-www ya non-www) set kar lete hain. To Google search console ko malum hoga ki apne ye (with-www or non-www) domain set kiya hai. To vo apke website ke sare pages ko preferred domain me hi index karega. Jisase apke website ke SEO me fayda hoga.

Preferred domain koun sa set kare with www ya non-www:

Ye sawal apke man me aa raha hoga ki koun sa domain apke website ke liye jyada achcha hoga. Kis domain ke istemal se website ranking improvment hogi. To itna confuse mat hoiye. Apke liye konsa domain best hoga ? Ye janane ke liye. Ap ye do chije check kijiye.
  • Apni website ko kisi browser me www ke sath or bina www ke sath open kar ke dekhiye. Apki website kis domain me khulti hai.
  • Apne website me jo internal linking ki hai. Un links ko apne kis domain me rakha hai ? www ke sath rakha hai. Ya bina www ke rakha hai.

In dono ko check karne ke baad. Internal links me apne jo domain jyada set kiya ho www ya non-www use hi set kijiye. Or agar apka blog ya website www ke sath start hoti hai. Or internal links me non-www ke url set hai. To ap www ke sath preferred domain set kijiye. Agar ap ye soch rahe hain ki www se domain set karne ke baad, apke internal links (jo non-www ke set hai) vo open nahi hogi. To ap galat soch rahe hain. Kyunki agar ap www ke sath domain set karte hain. To non-www ke sare url, redirect www ke sath open ho jayegi. Yani ki bina www ke bhi url type karne par, vo khud www ke sath open ho jayega. Ap meri website ko bina www ke open kar ke check kar sakte hain. To meri advice hai ki jyadatar url jis domain me hain. Use hi preferred domain me set kijiye.

Preferred domain kaise set kare:

Preferred domain set karne ke liye do chije honi chahiye. Ham apko blogger or wapka dono me preferred domain set karne ka tarika bata rahe hain.
  1. Apki website verified honi chahiye. Ap site settings me verification details me check kar sakte hain. Ki website kis method se verified hui hai.
  2. Ye setting sirf custom domain ke liye hi hai. Sub domain me ap ye function use nahi kar sakte hain.
In dono ko check kar lene ke baad pahle google search console me apni website select kijiye.

Google-webmaster-tools-search-console-site-settings

  1. Site setting icon par click kare.
  2. Site settings me click kare.
Google-webmaster-tools-search-console-select-preferred-domain-save

Yahan par apko jo domain set karna ho. Use select kijiye. Or save par click kijiye. Apka preferred domain set ho jayega.
Google-webmaster-tools-search-console-preferred-site-verify

Lekin agar apko aisa option milta hai. To pahle apko apni wahi website Google search console me bina www ke bhi add karna hoga. Uske liye ap is url ko copy kijiye. Or new tab me google search console open kar lijiye. Or ADD A PROPERTY par click kijiye.

Google-webmaster-tools-search-console-add-property-to-set-preferred-domain

  1. Apna copy kiya hua url daliye.
  2. Add kijiye.
Apki website add ho jati hai. To thik hai. Lekin agar apko verify karne ke liye kaha jaye. To aise kijiye.
Google-webmaster-tools-search-console-verify-your-website

Apne apni website jab www ke sath add ki thi. Us waqt apne jis method se website verify kiya tha. Is baar bhi wahi chij select kare. Lekin apko verification method select kar ke direct verify karna hai. Jaise hamne apni website ko HTML tag code blog template me daal ke verify kiya tha. Lekin is baar ham HTML tags select kar ke, direct (bina tag code template me dale) verify par click karenge. Kyunki meri ye website already verified hai. Yahan verified kar lene ke baad. Ap fir se apne www wale website me jaiye. Or preferred domain select kar ke save kijiye.

Your-preferred-domain-successfully-saved

Ab apke website ka preferred domain set ho chuka hai. Wapka website ka preferred domain set karne ka bhi same yahi process hai. Lekin agar ap blogger hai. To kaam yahin khatm nahi hua. Ab apko blogger me jake, non-www domain ko, with www domain ke sath redirect set karna hai. Taki non-www domain bhi, www domain me automatic open ho jaye. Ap blogger me jaiye, fir settings, basic me jaiye. Apne domain name ke edit par click kijiye.

Blogger-third-party-domain-setting-redirect
  1. Yahan ☑ kijiye.
  2. Ab save kar dijiye.
Ab apke sare non-www url, www ke sath redirect ho jayegi. To ab apka preferred domain set karne ka process pura hua. 😊

6 thoughts on “Google search console me preferred domain save kaise kare. Full method.”

  1. बहुत ही बढ़िया जानकारी दी है आपने जूही जी… आपने हर इसमें हर चीज को बहुत ही अच्छी तरह से समझाया है. 🙂

    Reply

Leave a Comment