Free Website aur Blog Kaise Banaye (Complete Details)

free-website-kaise-banaye

Hallo friends… Aj ham baat karenge ki, Free Website aur Blog Kaise Banaye? Dosto aj internet ke jamane me internet se hi paise kamane kai tarike hain, jisme se ek Blogging aur Website ke jariye paisa kamana hai. Is kaam ke liye apko Hosting kharidni hoti hai jo ho sakta hai ki apke budget me na ho. Lekin ki koi baat nahi hai kyunki kai sari aisi Website Builder hai, jo apki website ko Free me Hosting karti hai. Unhi me se ek hai Blogger, jo ki ek Google Product hai. Isme aap aasani se Free Blog banakar Online Earning kar sakte hain. Hindi Me Seekhe bhi isi platform par bani hai.

Bahut log ye bhi sochate hain ki kya ham Phone Me Blogging kar sakte hain? To is par mera javab hai ki “haan” Phone Par Blogging aaram se kar sakte hain, 100% kar sakte hain. Haan, agar aap Website Banane Ke Liye WordPress Platform ka istemal kar sakte hain to thodi mushkilon ka samna karna pad sakta hai. Blogger ke sath bhi chhoti-moti pareshani aati hai lekin uska solution bahut easy hai. Is blog me apko lagbhag sabhi tarah ki problem ka solution mil jayega. Isliye apne paas Computer na hone ka gam mat kijiye.

Blogger Kya Hai?

Blogger, Google ka ek Product hai jo Website Buiding ke free hosting pradan karti hai. Pahle iska naam pahle Blogspot tha, lekin baad me iska naam badalkar Blogger kar diya gaya. Isme aap Free Website aur Blog Create kar sakte hain. Jaisa ki hamne bataya tha ki site banane se pahle kya-kya plan karna jaruri hota hai. Unme se ek ye bhi jaruri hai ki website kis platform par create karna hai, ye tay kar liya jaaye. Mere khyal se blogging karne ke liye, blogger ek achchha free platform hai.

  • Ye Google ka diya hua ek free service hai. Jispar ap muft website create kar sakte hain.
  • Agar ap naye hain. To apko shuruaat kisi muft ke platform par hi karni chahiye. Taki aapke jaaya na ho jaaye.
  • Isme websites banane ki koi limit nahi hai. Mera matlab hai ki kuchh website builder apko ek saal tak free hosting deti hai. Uske baad apko hosting kharid kar website chalani padti hai. Lekin blogger ke sath aisi koi limit nahi hai.
  • Blogger ke sath ek fayda ye bhi hai ki ap isme apne blog ka backup bhi rakh sakte hain. Taki blog remove hone par aapki mehnat bekar na jaye. Bahut sari platforms ye suvidha nahi deti hai.
  • Blogger me ap Music downloading website nahi bana sakte. Kyunki isme music upload karne ka koi option nahi hota. Agar aap downloading website banani hai to uske apko Hosting kharidni hogi. Jahan apke music aur videos sab Host rahe.
  • Blogger me ap direct apne Phone/PC se aur youtube video URL se video upload kar sakte hain.

Waise free website builders ke sath ek problem bhi hai. Agar apne thik se unke terms & conditions ko follow nahi kiya. To vo apki website kabhi bhi remove (delete) kar sakte hain. Isaliye free website sirf shuruaat ke liye hi behtar hai. Pure blogging center ke liye nahi.

Ye rahi blogger se related kuchh baate. Ab batate hain ki Blog aur Website Me Kya Fark Hai?

Blog aur Website Me Fark

Blog matlab jo apko information de, jahan se apko kisi bhi vishay, sthan, vyakti aur center ki jankari mile, use blog kahte hain. Technical Language me ise CMS (Content Managment System) kahte hain. Jaise mere blog apko website, SEO, Apps, Online Money Making ke bare me jankari milti hai. Aise hi sare Blog informative hote hain.

Wahin Website ka matlab apko kisi prakar ki service dena hota hai. Jaise ki GoDaddy website apko Domain aur Hosting ki service deti hai. Amazon apko onlne shopping karne ki service deti hai. Isi tarah Facebook, Twitter aur Instagram apko online apne thouth prachar karne aur logo se comunication karne ki service deti hai.

Paise Kamaye Kamaye

Blog aur Website se paise kamane ke bare me “Blog Se Paise Kamane Ka Sahi Tarika” naam se post likhi hai. Aap vo post padh kar puri jankari le sakte hain.

Blogger Blog Kaise Banaye?

Sabse pahle apko Blogspot par jayen.

blogger-blogspot-sign-in-kare


Ap Blogger website me pahunch jayenge. Ap SIGN IN par click kijiye. Ap ek dusre page me pahunch jayenge. Wahan apko apna gmail address daal kar next karna hoga. Fir gmail password daal kar next par click karna hoga. Yaad rakhe, blogger apko apne gmail account se hi login karna hota hai. Isme new account create karne ki jarurat nahi hai. Agar apke paas gmail account nahi hai to Gmail Cccount Kaise Banaye?

blogger-blog-display-name


Ab apko aisa page milega. Yahan apko blogger ke par profile ke liye naam likhane ke liye kaha jayega. Yahi naam Template ke default profile me show karega. Aap is naam ko kabhi bhi Profile Edit kar ke change kar sakte hain. Display Name likhane ke baad “Continue to Blogger” par click kijiye.

create-new-blog-on-blogger


Ab screen ke left side me upar New blog (yahin par apko apne sare blog ki list dikhai degi) par click kijiye. Or ek baar fir se New blog (har baar new blog create karne ke liye yahi option use karna hai) par click kijiye.

create-a-free-new-blog-website


Ap ek pop-up window khulegi.

  1. Title me apko apne website ka naam likhna hai. Jis naam ka ap website chahte hain. Vo likhiye. Is title ko ap baad me change bhi kar sakte hain.
  2. Address me apko apne website ka link (URL) set karna hai. Isi address se apki blog website open hongi. Lekin address bilkul unique hona chahiye. Jise kisi ne bhi use na kiya ho. Agar apka address unique nahi hua. To apko “Sorry, this blog address is not available” massage show hoga. Aisa hone par ap dusra address type kijiye. This blog address is available ho jane tak naya address type karte rahiye. Agar yahan apko apne pasand ka address na bhi mile. To koi baat nahi, ap custom domain use kar ke naya blog address pa sakte hain.
  3. Theme me ap koi theme select kijiye. Ye apke blog ka look design hota hai. Aap kabhi bhi Theme change kar sakte hain.
  4. Ab last me Create blog par click kar dijiye.

Apka Free Website ban chuka hai. To is post me apne padha ki free website blog kaise banaye. Or ye sab hamne android phone par kiya hai. Yani ki ap phone se blog bana sakte hain. Lekin kabhi aisa hua ki apko blog delete karne jaroorat padi to uske liye ap “Blogger blog delete kaise kare?” post padhe.

1 thought on “Free Website aur Blog Kaise Banaye (Complete Details)”

Leave a Comment