Bitcoin Kya Hai? – What is Bitcoin in Hindi

Hello friends… aaj ham Bitcoin Kya Hai isake bare me baat karenge. Agar aap is post me aaye hain. To nishchit rup se apne Cryptocurrency (Bitcoin) ka naam suna hoga. Aur aap Bitcoins Ki Puri Jankari janana chahate honge to aaj ham Bitcoin Kya hota hai iske bareme puri janakri batayege

Shuruaat me Bitcoin Ki Keemat maatra 50 paise thi. Lekin aaj iski keemat lakhon me hai. Akhir Ye Bitcoin Kya Hai? Jo jiski keemat aaj aasaman chhu rahi hai aur isme paise invest kar ke log achcha munafa kama rahe hai.

Bitcoin Kya Hai? - What is Bitcoin in Hindi

Bitcoin Kya Hai (What is Bitcoin)

Bitcoin ek Virtual Currency hai. Jaise- Rupee (INR) aur Dollar (USD) Mudra hai. Waise hi Bitcoin (BTC) bhi ek Currency hai. Bas fark itna hai ki ye Online Mudra hai. Yani ki ise ham dekh ya chhu nahi sakte. Iska istemal sirf internet me hi hota hai. Isliye ise Cryptocurrency aur Digital Currency bhi kaha jata hai.

Ye ek Decentralized Currency hai. Iska matlab ye hai ki ye paisa to hai. Lekin is par government ka koi adhikar nahi hai aur naahi ye avaidh (Illegal) hai. Bitcoins har koi istemal kar sakta hai. Jis tarah internet ka istemal har koi karta hai, waise hi.

2009 Santoshi Nakamoto naam ke vyakti ne Bitcoin banaya tha. Tab uski keemat sirf 0.003$ ke aas-paas thi. Lekin aaj Bitcoin Price lakhon me hai. Lekin iski price bilkul share market ki tarah ghatati-badhati rehti hai.

Agar aapko ye janana hai ki is waqt Bitcoin ki Price Kya Hai? Chahe wo Rupee me ho ya Dollar me. Aapko bas Google me jaana hai aur 1 Bitcoin to INR search karna hai. Apko BTC Price malum pad jayegi. Agar yahi keemat Dollar me janana ho. To INR ki jagah, USD lagakar search kare.

Jis tarah rupee ka bhaag paisa hota hai. Usi tarah BTC ke bhaag ko Santoshi kahte hain. Log isi Santoshi ko kharidate aur bechate hai. Kyunki 1 Bitcoin me pure 100,000,000 (10 crore) Santoshi hote hai. Ap jo Bitcoins buy, Sell aur Earn karte hain. Vo bhi Santoshi me hi hoti hai.

Bitcoin Ka istemal Kaha Kaha Hota Hai Or iske Fayde Kya Hai

Ab aap ye janana chahenge ki Bitcoin Ka Use Kya Hai? To ham bata de ki iska istemal puri duniya me ho raha hai. Aur ye online purchasing me bahut kaam aata hai.

  • Online shopping (international) kar sakte hain.
  • Bina kisi details ko share kiye. Ham kuchh bhi online kharid sakte hain.
  • debit or credit card ke badle, iski transaction fees bahut kam hoti hai.
  • Bank account block ho sakta hai. lekin Bitcoin account kabhi block nahi hota.
  • Notebandi ho sakti hai. lekin Bitcoin kabhi band nahi ho sakta. Kyonki iske upar koi government nahi hoti.
  • Kisi ko bhi Online paise dene aur lene ke liye use kar sakte hain.
  • Payment ke liye kar sakte hain.
  • Bitcoin ka use investments ke taur par bhi hota hai. Maximum log Bitcoin kharidte hai aur daam badh jane ke baad, use bechkar munafa kamate hain.

Kyunki ye Online Currency hai to iska use online hi kar sakte hain. BTC par invest karna sahi bhi ho sakta hai aur galat bhi. Kyonki iske daam upar niche hote rahte hain.

Conclusion

Hamne is article me jana ki Bitcoin Kya hai or iska istemal kaha kaha hota hai or iske fayde kya hai to apko mera ye article pasand aya hoto Please is article ko apne dosto ke sath Share Jarur Kare or koi saval hoto aap niche comment me likh skte hai

5 thoughts on “Bitcoin Kya Hai? – What is Bitcoin in Hindi”

Leave a Comment