Ezoic Kya Hai? Ezoic Se Blog Revenue Kaise Badhaye

Hello friends… aapne Ezoic ke bare to suna hi hoga lekin kya apko pata hai ki ye apka time bina west kiye Blog Revenue automatically Increase karne me madad karta hai chaahe aap apne site par Adsense, Media.net ya fir koi bhi dusra Ezoic-suportted ad network use karte ho. Ye post Ezoic overview hai.

Ezoic kya hai aur kaise work karta hai, blog income kaise badhata hai? In sare sawalo ke jawab is post me milenge. Ham sab apne site se jyada se jyada earning karna chahte hain lekin iske liye hame bahut sara work manually karna padta hai. Ham sab blog ka CPC, RPM aur CTR behtar banane ki koshish me apna bahut sara time west kar dete hain. Basically Ezoic ek aisa software hai jiska istemal karne se ye saari pareshani dur ho jaati hai aur hamara blog revenue bhi automatically badhta jata hai.

Ezoic Kya Hai?

Ezoic Kya Hai?

Basically Ezoic ek Google certified ad network partner hai jo publishers ka website revenue increase karne ke liye different ad networks ke sath milkar kaam karta hai. Ye apke kai saare hard works ko aasan bana deta hai jaise right ad placement, layout experiment aur ad balance jaisi techniques ko apke blog par impliment karta hai jisase site earning badhati hai.

Mere blog ka revenue bhi 40% increase hua Tha aur iska itemal ham is website me kuch time tak kiya tha aur ham iske positive results se bahut khush huye the. par Ezoic ki bahut sari Policy Hai jiske anusar me bahut sare Category ke article nhi dal skta tha isiliye mene Ezoic ko sod diya par mene notice kiya ki Adsense ke mukable Ezoic me jyada ad clicks aaye The aur CPC bhi improve hua tha.

Ezoic Kam Kaise Karta Hai?

Actually Ezoic ek automated software hai jo site content aur different site layouts par dependent hai. In dono matrics ko dhyan me rakhte hue ye software site navigation aur content type ko examine karke sahi jagah pe interest-based ads show karta hai jisase jyada clicks milne ke chances badh jate hain.

Ezoic har ek device par right ad placement karke quality clicks badhata hai jaise ki smartphone, tablet, iPad, laptop aur desktop. Ye screen size ke according user-navigation ko bina disturb kiye ads show karta hai.

Ezoic Ka istemal Kaise Kare?

Agar aap apne site par ads (jaise ki AdSense ads) use kar rahe hain to aap Ezoic ke jariye site revenue badha sakte hain lekin isase pahle ki aap Ezoic ka istemaal kare usase pahle simple steps follow karke apko Ezoic website par registration karna hoga jo ki bilkul free hai. Signup karne ke baad agar aap chahe to apne free account ko premium account me upgrade kar sakte hain jisme aapko extra features milenge.

For example: agar aap AdSense ads use kar rahe hai to apni site par aur apki earning bahut kam hai ya slow hai to Ezoic ka istemal karke aap apni AdSense earning increase kar sakte hain or Ezoic ye bhi kahta hai ki Ezoic istemal karne se Apka Website or Blog bahut Fast Speed me Load Hoga.

Kya Ezoic ka use karne se AdSense disable hone ka khatra hai? Bilkul bhi nahi. Kyonki Ezoic, AdSense certified hai yani ki Google khud use allow karta hai kyonki vo user-based ads show karta hai jiske wajah se koi froud clicks generate nahi hota sirf quality clicks hoti hai. Is wajah se jitne bhi clicks aate hai sabhi valid clicks hote hain isliye Ezoic ke istemal karne se AdSense ya kisi bhi ad network company ko koi khatra nahi hai.

Ezoic me registration karne ke baad apko 4 steps complete karne karni hoti hai tabhi Ezoic apke website ko achchhi tarah handle kar payega.

  1. Integrate Your Site: sabse pahle aapko apna blog Ezoic se integrate karna hoga ki jodna hoga, is pure setup me sabse jyada important yahi hai. Integration karne ke tin tarike hai jisme pahla CloudFlare integration, dusra Nameservers exchange aur tisra JawaScript code hai.
  2. Setup Ad Testing: isme aapko sare ads ko identify karne ke ad ID banai padti hai. Ye sabhi ID HTML code me hoti hai aur inhi codes ko aoko apne blog ke ads ke sath edit karna hota hai.
  3. Turn on Ezoic: isme apko ye set karna hota hai ki aap Ezoic ko kaunse device se aur kitna traffic bhejna chahte hain.
  4. Apply for Google’s Ad Exchange: yahan apko Google’s Ad Exchange ke liye apply karna hota hai taki Ezoic ko AdSense ads se apne ads exchange karne ki permission mil sake. Ye permission Google dwara hi di jati hai.

Agar aap Ezoic ka istemal karna Sahate Hai to Aap Upar Wala Video dekh ke full information ke sath Kaise Apne Website me Ezoic Connect kare uske bareme full janakari le skte hai upar vale video me Step Bye Step Vistar se Ezoic Connect Karne ke bareme bataya hai.

Conclusion

Muje ummid hai ki apko mera Ye article jarur pasand aya hoga or apko Ezoic ke bareme koi or saval hai to aap niche comment me bata skte hai or article pasand aya hoto please is article ko Apne dosto ke sath Share Jarur kare.

6 thoughts on “Ezoic Kya Hai? Ezoic Se Blog Revenue Kaise Badhaye”

    • Sorry Bhai Par kuch policy ke karan me Ab Ezoic ka istemal nhi arta hu isiliye Me Apni Payment Proof Nhi Dal Skta Hu or me jab Ezoic istemal kiya tha tab mere blog me itna traffic ni tha to me 100$ nhi kar paya tha isiliye apni payment proof nhi dikha skta hu

      Reply
    • Bhai apka Adsense Approvad hai tab jake aap Ezoic ke liye Apply kar skte hai kyoki Ezoic apne Khud ke Ads Nhi Dikhata Vo Adsense ke hi Ads ko dikahata hai par Apko Ezoic ki thodi bahut Policy hai uska palan karoge tab jake Aap Ezoic ka istemal kar skte hai or Blogger me Ezoic Connect hoga ya nhi vo to muje bhi pata nhi hai

      Reply
  1. Maine ezoic ke liye apply kiya net ki dikkt ki vajah se apply pura nhi hua Ab dubara apply karne jata hu dikhata hai mera domain ezoic se link hai dubara ye domain add nhi kr skte or mere ezoic account me koi add domain nhi dikha rha or na hi mai koi aage ki prakriya puri kr pa rha hu

    Reply
    • Bhai Alredy Bataraha hai to fir koi bag hoskta hai ya aap ek sahi se check kariye Domain add to nhi hai agr add nhi hai to aap ek bad Ezoic walo ko email karo vo log jarur sahayta karege

      Reply

Leave a Comment