Blogger website me header logo kaise set kare. Full guide.

Blogger-website-me-header-image-kaise-lagate-hain

Hello friends… Aj is post me ham apko batayenge ki blog website me header logo (image) kaise lagaye. Pichhali post me hamne aapko bataya tha ki, kaise ap bina image editing seekhe bhi ek stylish logo bana sakte hain. Agar ap logo banana nahi jante. To ye post padhe header logo kaise banaye.

Blog website header design me image hona kyu jaruri:

Aisa bilkul nahi hai ki apko website ka header design karne ke liye stylish logo lagana hi pade. Ap stylish font ka bhi use kar sakte hain. Lekin iske liye apko CSS coding aani chahiye. Kyunki template me CSS coding edit kar ke hi app blogger blog ki font style, font color or font weight change kar sakte hain. Lekin har koi CSS coding nahi kar sakta. Isaliye image logo ek easy way hai website header design karne ka. Kyunki header image kisi bhi website ka chehra ban jata hai. Or logo banana, template edit karne se jyada easy hai. To agar apne apna Blog header logo bana liya hai. To logo header par set karna bhi seekh lete hain.

blogger website me header logo kaise set kare:

Agar apne header logo bana hi liya hai. To ab batate hain ki blog me logo kaise lagaye. Sabse pahle blogger login kare.
Blogger-website-layout-header-edit

Layout me jaiye, fir header section me jaiye.

Blogger-website-logo-image-kaise-upload-kare

Ab aapko aisa page milega.

  1. Yahan apne blog ka naam likhe. Ye aapke blog ka title hota hai. Jo google search result me dikhai deta hai.
  2. Yahan description likhiye. Yahan par description likhana bahut jaruri hai. Yahan par bhi wahi description likhe. Jo apne search description box enable karte time likha tha. Iske bare me hamne apko is post me bataya tha. Ise khali bilkul bhi na chhode.
  3. Choose file se apna logo select kijiye. Uske baad baki ke options me se kisi ek ko select kijiye.
  4. Behind title and description select karne se, logo title or description ke pichhe dikhai dega.
  5. Instead of title and description select karne se, sirf image dikhai dega. Title or description chhup jayega.
Blogger-website-layout-save-arrangments

Ab Save arrangements me click kar ke save kar dijiye. Aapka header lag chuka hai. Padhe Wapka header kaise design kare. ЁЯШК

5 thoughts on “Blogger website me header logo kaise set kare. Full guide.”

  1. рдореИрдо рдЖрдИ рд╣реЗрд▓реНрдк рдпреБ рдореИрдо рдЖрдкрдХреЗ рдЬреЛ рдЗрд╕ рдмреНрд▓реЙрдЧрд░ рдореЗрдВ рдЬреЛ bottom рдореЗрдВ рдРрдб рд▓рдЧреА рд╣реБрдИ рд╣реИ рдпрд╣ рдХреЛрдбрд┐рдВрдЧ рдХреИрд╕реЗ рд▓рдЧрд╛рддреЗ рд╣реИрдВ рдкреНрд▓реАрдЬ рдЙрд╕рдХреЗ рдмрд╛рд░реЗ рдореЗрдВ рдкреЛрд╕реНрдЯ рд▓рд┐рдЦреЗ рд╣реИрдВ рдпрд╛ рдХреБрдЫ рдЬрд╛рдирдХрд╛рд░рд┐рдпрд╛рдВ рдмрддрд╛рдПрдВ рдЙрд╕рдХрд╛ coding рд▓рд┐рдВрдХ рджреЗ рдкреНрд▓реАрдЬ

    Reply

Leave a Comment