Google Search Console me Blogger Sitemap Submit Kaise Kare

Hello friends… Aaj ham apko GWT (Google Webmaster Tool) me Blogger Sitemap Submit karne ki jankari denge. Kyunki Blog ko Google Search Console Me Submit karne ke baad Search Console ki taraf se ek email aata hai. Jisme apko Submit Sitemap padhane ko milta hai.

To aj ham yahi jankari share karenge ki google search console me blogger blog ka Sitemap Kaise Submit Kare? Kyunki Blog SEO ke liye sitemap add karna bahut jaruri hota hai. Sitemap ke bagair hamara blog Google Search Results me aa hi nahi sakta. Aap soch rahe hain honge ki aisa kyu? Isliye ham sabse pahale ye batayenge ki Sitemap Kise Kahte Hai?

google-search-console-sitemap-kaise-submit-kare

Sitemap Kya Hai

Jaisa ki iska naam hai Sitemap, map ka matlab naksha hota hai aur sitemap ka matlab hai hamare blog ka naksha. Sitemap hamare blog ke posts ke, categories ke URL ki ek puri list hoti hai. Jo ki Xml File me hoti hai.

Hamare blog me kitne post hai, kitne naye post likhe gaye hain, kitne post update kiye gaye hain. Ye sab jaankari google search console robots, sitemap dekh kar hi pata chalta hai aur vo Blog Post Index kar pata hai.

Blogspot Platform ke liye to bas ek Blogger Sitemap Submit karne ki jarurat padti hai. Lekin WordPress Platform ke liye hame kai alag-alag Sitemap Submit karna padta hai.

  • Sitemap_index.xml
  • post-sitemap.xml
  • category-sitemap.xml
  • post_tag-sitemap.xml
  • page-sitemap.xml

Sitemap Submit Karna Kyu Jaruri

Blogger Sitemap Submit kiye bina Google Search Results hamare blog post ka aana asambhav hai. Kyunki hamari post search result me tab dikhti hai, jab vo index hoti hai. Sitemap Submit kiye bina, Google ko hamare blog posts ki jankari hi nahi milegi. Jab Google ko post jankari hi nahi milegi, to vo index kaise karega? Aur jab vo post index hi nahi karega, to search result me hamare blog ke posts kaise aayenge? Hamari post search result me tabhi aati hai, jab vo index hoti hai. Bina post index ke aap koi bhi post search results me nahi dekh sakte.

Ham google me jo bhi search karte hain aur hame jitne bhi results milte hain. Vo sare posts google search console me index hue hote hain. Isliye Google search me dikhai dete hain. To agar ap bhi Search Engine se Organic Traffic chahte hain, to sitemap submit jarur karenge. Mere khyal se ab aap samajh gaye honge ki Sitemap Blog Ranking me kitni badi bhumika nibhati hai. Ab batate hai ki Blogger Sitemap Submit Kaise Kiya Jata Hai?

Sitemap Kaise Generate Kare

Sabse pahle apko sitemap generate karne ke liye Sitemap Generator me jana hoga.

blogger-website-ke-liye-xml-sitemap-kaise-generate-kare

Apko aisa page milega.

  1. Apni blog website ka URL lkhiye.
  2. More options par click kijiyega to baki ke options aa jayenge.
  3. Page last modification on kijiye.
  4. Ab Page Priority on kijiye.
  5. Change Frequency ko Always par set kijiye.
  6. Ab Start par click kijiye.

Ab apko kuchh minutes intezar karna hoga. Sitemap Generate hone me waqt lagta hai.

Sitemap-is-generated

Apka sitemap taiyar ho chuka hai. Ab apko bas google search console me sitemap submit karna hai.

Blogger Sitemap Submit Kaise Karte Hai

Sabse pahale apne google search console me jaiye.

new-search-console-sitemap-kaise-submit-kare
  1. Ab jis website me sitemap submit karna hai, use select kare.
  2. Sitemaps par click kare.
  3. Yahan sitemap.xml type kijiye.
  4. Ab Submit kar dijiye.

Ab apka blog sitemap submit ho chuka hai.

To ab ap samajh chuke hain ki Google Search Console me Blogger blog Sitemap Submit Kaise Karte hain. Agar apko error show kar raha hai. To is error ko fix karna bahut jaruri hai. Padhe sitemap error kaise fix kare.

3 thoughts on “Google Search Console me Blogger Sitemap Submit Kaise Kare”

  1. सबसे पहले तो मैं आपको तहे दिल से शुक्रिया अदा करना चाहता हूँ,के आपने एक लेडी होकर इतने अच्छे से सभी लोगों की मदद कर रही,ये बहुत ख़ुशी की बात है।

    बात रही main टॉपिक पे,आपने शुरू में जो बतायी के Sitemap बनाने के लिए Sitemap tool पर जाना है, Dear अगर आप ये नहीं भी करोगे ब्लॉगर में तो नो प्रॉब्लम,आप सिर्फ 2nd Paragraph में जैसे बताये हैं,वैसे आप Sitemap तैयार कर सकते हैं।

    मेने आपकी fb pr एक पोस्ट Hindi is more powerful than Hinglish ki madad se is साइट par,आपकी फेसबुक id से आया हूँ।
    धयनवाद.

    Reply
  2. Apki baat bilkul sahi hai ki tool par jana jaruri nahi hai. par tool bane sitemap se user santusht hote hain ki unka sitemap ban gaya hai. dusra tool me ham apni xml sitemap ko dekh sakte hain ki vo kaise hamare blog ko describe kar raha hai.

    sitemap generator tool ki jarurat kabhi nahi hoti.

    ham apki ijjat karte hain. or apne ye jante hain ki ham ek mahila hai. so i request, please don't call dear. 🙂

    Reply

Leave a Comment