Schedule Posting Kya Hai | Blogger Par Automatic Post Publish Kaise Kare

Hello friends… Is post me ham apko blogging me, “Schedule posting kya hai? Blogger par automatic post publish kaise karte hain?” Ye batane wale hai. Scheduled posting bahut aasan tarika hai, 2-3 din kam na karne ke bavajud, apne blog par, daily post ko publish karte rahane ka.

Blogspot-blog-par-schedule-post-setting-kaise-karte-hai

Blogger ko rank karne ke liye. Bahut zaroori hai ki aap har roz kam-se-kam ek post publish kare. Lekin hum blogger bhi ek insaan hi hote hain. Hame bhi kabhi chhutti chahiye hoti hai. Chahe hum bhi kabhi bimar pad sakte hain. Ya kahin ghumne Jana hota hai. Aisi situation me scheduled posting hamare bahut kaam aati hai.

Schedule Posting Kya Hai?

Aapne blog par automatic post publish karne ke baare me to suna hi hoga. Bas ise hi schedule posting kehte hain. Isme aap aap jo bhi tariq (date) aur waqt (time) set karte hain. Apki vo post, thik usi tariq aur waqt me, apne-aap published ho jati hai. Automatic blog post publish karne ka tarika, har blogger istemaal karta hai.

Schedule Post Ka Fayda:

  • Aap bina roz kaam kiye bina bhi, roz post publish kar sakte hain.
  • Aap 2-4 din ki chhutti bhi le sakte hain.
  • Agar aap achachaa bimaar pad gaye. To aapko post likhne ki tension nahi hogi.
  • Aapke visitors ko new post publish hone ka time pata raraha hai. To vo daily us time blog par visit karte hain.
Itane saare fayde janane ke baad. Aisa nahi ho sakta ki aap blog par scheduled posting na karna chahe. To ab batate hai ki blogger blog me schedule post kaise daale?

Blogger Schedule Posting Kaise Kare?

Sabse pahle apne blogger dashboard me jaaiye. Or new post likh lijiye.
Blogspot-me-post-automatic-publish-kaise-kare
Ab aapko post ka schedule set karna hoga.
  1. Post setting par click kare.
  2. Schedule par click kijiye.
  3. Set date and time par click kare.
  4. Yahan aapko date or time set karna hai. (aap jis time par published post dikhana chahte hain. Wahi time set kare)
  5. Ab done par click kar dijiye.
Ab post publish kar dijiye. Aapka blogspot blog post scheduled ho chuka hai. Ab ye post automatic publish ho jayegi. Isi tarah se jitni chahe, utni post scheduled kijiye.

SEO Tips -: agar aap purani post ko bhi, Isi tarah date and time badalkar update karenge. To Google us post ko updated samajhega. Or us post ko search results me rank karne me aasani hogi.

To friends hame puri umeed hai ki post aapko bahut accha laga hoga. Aur aap achhi tarah samajh gaye honge ki scheduled posting kya hai, aur blogger blog par schedule post kaise kare.

20 thoughts on “Schedule Posting Kya Hai | Blogger Par Automatic Post Publish Kaise Kare”

  1. theme change karna badi mushkil hai, seo kiya hau, structure data sahi kiya hua hai, dusra theme change karne me sabhi problem fir se aa rhi hai, isliye please kuchh dusra upay bataye

    Reply
  2. Evento Event me structure data errors free hai. Or is template ka footer link hide karne me bhi ham help kar denge. Fir sabhi post ke bich me adsense ads lagane me bhi ham help kar denge. Baat advance coding ki hai. Warna template change karne ko nahi bolte.

    Reply
  3. apke anusar maine theme change kr diya hun, please help me the following issues
    1. Footer, footer me hi contact form, follow me, copyright etc add karne sambandhi
    2. display Most recent post

    please please check my site and help me

    Reply
  4. Send feedback koi koi setting nahi hai. Balki ye ek form hota hai. Jisme apni raay likhkar bhej sakte hain. Jab apko lage ki us website koi kami hai. Ya apko kuchh help chahiye. Tab ap is option ka use kare.

    Reply
  5. Meri site ke template me mega theme ka option hai but vo sirf windows me hi random post show krta hai, mobile me show nhi krta or no result found aata hai. Please help karo or advice do.
    Please check my site

    Reply

Leave a Comment