Blogger post me, search description kaise add kare.

blog-post-description-kaise-add-kare

Hello friends… Description hamare blog or post ke SEO ke liye kitna important hai. Ye shayad ap me se kai log nahi jante honge. Description hi vo chij hoti hai. Jiske karan hamare post ko google search result se jyada click milte hain. Or hamare blog ko jitni jyada click milegi. Hamare blog ki rank utni hi jyada badhegi.

Description kyu jaruri hai:

Google search results me, har post ke title ke niche jo post ke bare chhoti si jaankari likhi hoti hai. Use description kahte hain. Is description ko padhkar kar hi visitors ye tay kar karte hain ki, vo jo jaankari dhundh rahe hain. Vo is “post” me hai ki nahi. Description padhkar unhe malum padta hai ki unhe is post me vo jaankari mil jayegi. Jise vo dhundh rahe hain. Kisi bhi downloading website me. Ham jo last me “Tag” padhte hain. Asal me vo us page ki description hoti hai. Jo content us page par hoti hai. Wapka website builder par ap apni ek downloading website bana sakte hain. Or wapka website har page ka basic SEO kaise karte hain ? Ye hamne is post me bataya hai. Or description add karna, basic SEO me hi aata hai. Iske sath hi description add karne ke or bhi kai fayde hote hain.

  • Goggle search result me, post title ke niche description dikhai deti hai.
  • Jab post shere karte hain. Tab description post thumbnail or title ke niche dikhai deti hai.
  • Blog description or post description alag-alag set karne hote hain.
  • Description add naa karne par Google khud hi description taiyar kar leta hai. Jo ki aapke post ke hi kuchh words hote hain. Jo ki aapke post se related nahi hoti. To isse aapko nuksan ho sakta hai.

Blogger post me description add kare:

Blogger post me search description box pahle se available nahi hota. Use hame enable karna hota hai.

Blogger-post-me-description-box-kaise-jode-description-kaise-likhe

Ek image me search description box available nahi hai. Dusre image me search description box available hai. Search description box add karne ke liye. Aapko bas apne blog me jana hai.

Blogger-search-preferences-description-edit-me-kya-likhe
  1. Settings me jaaye.
  2. Search preferences me jaaye.
  3. Description ke option me “Edit” par click kare. Uske baad “Yes” par click kare.
  4. Yahan par apne blog ki description likhe. Yaad rakhe, yahan par aapko blog ki description likhani hai. Naaki ki post ki. Ye description only 150 letters me hi likhana hai. Yahan par likha hua description, aapke blog ke shere description me najar aayenge.
  5. Ab “Save changes” par click kar de.

Ye bhi padhe:

Ab ap post edit me jaakar dekhiye. Description box aa gaya hoga. Ab ap jab bhi naya post likhe. Usme post se related description likhna naa bhule. Or agar apke pahle ke post me description add nahi hai. To ap abhi jaakar add kar dijiye. Apki post update ho jayegi. 😊

8 thoughts on “Blogger post me, search description kaise add kare.”

  1. hello sir
    Mai ek New blogger hu aur meri site me search description elable kiya hai. har post ke liye search description likhata hu lekin jab bhi post search engine me show hoti hai to post ke niche search description show nahi hota hai, direct post ki 1 se 4 lines show hoti hai. aisa kyu hota hai ? Aur search description search engine me dikhane ke liye muze kya karana hoga pls bataiye…

    Reply
  2. Waise ye koi badi problem nahi hai. Meri bhi post ke description hu-ba-hu search results me nahi aate. Aisa advance SEO ki wajah se hota hai. Search description me, search se reted keywords bold text se high light ho jate hai. Aap post me main keywords ko bold or italic font me rakhiye. Or description me bhi un keywords ko rakhiye. To apke liye jyada best hoga. Or ap custom robot txt wali meri post padh lijiye. Aapko advance SEO matlab samajh aayega.

    Reply
  3. Reply ke liye shukriya,
    meri site par 2000 pageviews hote the but jabase search description show nahi ho raha hai tabase hameri new post google ke 7 se 10 page par show ho rahi hai jisaki wajaha se traffic ana bilkul kam ho gaya hai. hamane 5 new post likhi thi sari ki sari post serp ke 8 pages ke bad show ho rahi hai. search se releated keywords ko bold, italic, under line karat hu aur inhe search description me bhi likhata hu. lekin samaz nahi aa raha ki kya karu ?

    maine apaki custom robot header post padhi. hamari site ki setting aur apane jo setting batai hai usame bahot defference hai. hamane nodop ko bhi use kiya tha shayad isiliye aaisa ho raha ho. but abhi settings change ki hai. dekhate hai kya hota hai.

    apaki site ke sare articles bahot acche hai. but desing se releated ek suggestion dena chahunga apane site ka jo logo desing kiya hai usame blue color aur green color ka background ye combination accha nahi dikhata hai. Agar apako blue color use karana hai to aap background color sky blue rakhe or heading color white bahot accha dikhega.

    mera suggestion apako accha na laga ho to maaf karana | sorry

    Reply
  4. Agar costume robots header txt ki setting me gadbadi thi. Or apne change kiya hai. To achchi baat hai. Lekin ap posts me bhi check kar lijiye ki post me to galat costume tags set nahi hai na. Kyunki post par bhi alag se setting kar sakte hain.

    Logo ke background me hamne green color use nahi kiya. Balki ek hare bhare ghaas ke maidan ki image ko crop kar ke lagaya hai. Or us maidan me "HindiMeSeekhe" ko khada kiya hai. Prakriti se mera behad lagao hai. Or green color mera lucky color bhi hai. So dono sath me hi ho gaye.

    Tareef or salah ke liye shukriya. Naya saal mubarak ho. 😊

    Reply

Leave a Comment