Blogger post me, apne dusre post ke link kaise add kare.

Blog-post-me-dusre-post-ka-url-kaise-lagaye

Hello friends… Aj is post me blog post ki ek bahut hi khas or jaruri chij ki jaankari dene jaa rahe hain. Or vo chij hai posts ke bich me apne ya kisi bhi dusre site ke link (URL) ko jodane ki. Ye ek bahut hi jaruri chij hoti hai blog post me. Kyuki ek hi post me ham sari jaankari nahi de sakte. Isliye us post se related dusre post ke link, post ke bich me dene hote hain. Taki visitors ko us post ko dhundhne me pareshani na ho. Jaise -: apne post likhi ki, “blog kaise banaye.” Lekin iske baad bhi to apko blog se related or bhi post likhne honge. Jaise -: blog post kaise likhe. Blog me naya template kaise upload kare ? Blog me favicon kaise change kare. Etc. Itne sare information ap ek hi post me nahi de sakte. Isliye apko in sabhi post ki link deni hi padegi. Jaise hamne di hai.

Link add karne ke fayde.

  • Vartman post se related dusre post ke link add hone se. Visitors ko post tak pahuchne me jyada aasani hoti.
  • Visitors apke post ko pasand karte hain. Kyuki unki problem ka hal ek hi post me mil jata hai.
  • Visitors jis post ko padhne aata hai. Us chij se related unhe or bhi jaankariya mil jati hai.
  • Ye har visitors ke liye faydmemand​ hota hai. Kyuki unhe kuchh or jaankariyo wali post mil jati hai.
  • Isase apke blog ki traffic bhi badhti hai.

Link kaise add kare:

Link add karne ke fayde janane ke baad, ab bari hai use add karne ki.

  • Sabse pahle apne blog me jaaye.
  • Fir new post create kare.
  • Fir post likhe.
blog-new-post-link-option-blogger

Ab jahan apko lage ki yahan link add karna hai. To wahan pahunchane ke baad link option me click kare.

Blogger-link-pop-up-window-settings
Ab ek new window khulegi.
  1. Text to display: yahan par apko link ka title dena hai. Jis title se ap link show karna chahte hain. Jaise hamne diya hai.
  2. Link to: To what URL should this link go: yahan par post ka link dale.
  3. Agar ap website ka link add kar rahe hain. To Web address select kijiye.
  4. Agar ap post me email address ko link karna chahte hain. To Email address ko select kijiye. Kinhi-2 post me email address dene ki jarurat padti hai.
  5. Test this link ka upyog ap ye janane ke liye kar sakte hain ki​ apne sahi URL dala hai ya nahi ? Meri salah hai ki ek baar jarur check kare. Agar URL (link) galat hua. To apko sahi samay par pata chal jayega.
  6. Open this link in a new window ko agar ap select karte hain. To ye link, new tab me open hogi.
  7. Add ‘rel=nofollow’ attribute ko ap sambhalkar istemal kijiye. Kyuki is option ko ✔ karne ka matlab hai ki Google aapke is link ko follow nahi karega. Yaani ki link add karne par bhi backlink nahi milega. Or agar apne kisi aise website ka link add kiya hai. Jiska content aapke website se nahi milta. To aise me agar ap nofollow ✔ nahi karte hain. To us website ko bad backlink milega. Padhe: Backlink kya hai or SEO ke liye kyu jaruri hai ?
  8. Sab set karne ke baad Ok me click kar dijiye. Link (URL) add ho jayega. Jaise ki mera ho gaya. Phone se template kaise edit kare.

To dekha naa apne, kitna aasaan hai link add karna. Koi pareshani hone par comment me puchhe. ☺

Leave a Comment