Navbar kya hai or kaise hataye blogger blog se

Hello friends… Is post me ham janenge ki navbar kya hai or iske kya use hai. Sath hi isi hide kaise karte hai. Jab ham Blog banate hain. To usme bahut sari settings bhi karni hoti hai or kuchh changes bhi karne hote hain. Jinme se ek Navbar bhi hai.

Navbar kya hai:

Navbar apke blog me sabse upar hota hai.

Navbar kuchh aisa najar aata hai.

  1. B icon par click karne se, blogger.com khulta hai.
  2. Ye search baar hai. Isme ap, apna blog search kar sakte hain.
  3. Isme click karne se, ap apni post ko direct Google+ par shear kar sakte hain.
  4. More se post shear karne ke or bhi options dikhai deti hai.
  5. Next blog se ap. Apna koi bhi dusra blog khol sakte hain.
  6. Yahan apko apna Gmail dikhai deta hai. Jisase apne blogspot login kiya hai.
  7. New post se ap direct naya post likh sakte hain.
  8. Design se ap blog template me pahuch jayenge.
  9. Sing out se ap blog se sing out ho jayenge.
To ab ap samajh hi gaye honge ki navbar kya hai or iska istemal sirf wahi kar sakta hai. Jisne blog banaya ho. Yaani users ke liye. Ye suvidha koi mayne nahi rakhati. Sath ye blog ke design ko bhi kharab karta hai. Is feature se users ko ye bhi pata chal jata hai ki, apka blog blogspot par bana hai. Isliye ise hide karna bahut jaruri hai.

Ham blog ko achcha dikhane ke achcha Template upload karte hain. Naya Naya favicon lagate hain. Quick edit icons remove karte hain. Subscribe to: (Atom) hatate hain . Powered by blogger remove karte hain. Itna sab karne ke baad navbar nahi hataya. To baki ki mehnat bekar jayegi.

Navbar kaise hataye:

Navbar hatana bahut hi aasan hai. Sabse pahle apne blog me jaiye. Jiska navbar hatana hai.

Layout me jaye. Fir apko Navbar edit par click karna hai.

Ab ek new window khulegi. Isme ap Off par click kar ke Save kar dijiye.

Ab Save arrangement par click kar ke is badlav ko save kar dijiye. To lijiye, apka navbar hat gaya blog se. Is post par apni ray jarur de. Or hamare blog ko subscribe jarur kare.

1 thought on “Navbar kya hai or kaise hataye blogger blog se”

Leave a Comment