Blogger Blog Me Ideally Language Declare Kaise Kare

Hello friends… Aj is post me ham ye batayenge ki Blogger Blog Me Ideally Language Declare Kaise Karte Hai? Kyonki website me Ideally Language Declared karna bahut jaruri hai. Ho sakta hai ki iske bare me apne jyada na suna ho, ya fir kabhi suna hi na ho. Lekin blog par Ideal Language Set karna bahut jaruri hai.

Agar aap aisa nahi karte hai. To ye apke blog SEO par bura prabhav dalta hai. Jise fix karna bahut jaruri hai aur ye jyada mushkil bhi nahi hai. XML Language set karne se Search Engine Optimization me faydemand hone ke sath-sath, isse Blog me Translation This Website wala feature bhi add ho jata hai. Hai na kamal ki baat! To aaiye pahle baat hai ki Ideally Language Declare Kya Hai?

blogger-website-fix-language-not-declared-ideally

Ideal Language Kya Hai

Bahut hi simple baat hai ki Ideally Language Declare karke ham search engines robots ko ye batate hain ki hamara blog kis bhasha me hain. Duniya bhar me jitni bhashayen hain. Utni hi bhashaon me blogs bhi hai. Agar sirf india ki baat kare, to yahan par bhi Hindi, Bangla, Urdu, Tamil, Telugu or Marathi jaisi kai bhashayen boli jati hai.

To jahir si baat hai ki in sabhi bhashaon par kai sari websites bhi bani hogi. To Google Search Console ya kisi bhi or search engine ko ye kaise pata chalega ki apki website ki aadarsh bhasha (Ideal language) kya hai? Robot ye kaise samjhega ki apki website ka sara content kis bhasha par likha gaya hai? Kyunki apne to blog ki Ideally Language Declare hi nahi ki hai.

Apne kabhi notice kiya hai. Jab aap kuchh search karte hain aur keywords me “in Hindi” keyword use karte hain. Lekin aapko jitne bhi results aate hain. Vo sabhi Hindi me hote hain. Lekin unke title me Hindi keyword nahi hota, fir bhi vo blog pahle number par hota hai. Aisa kaise hota hai? Aisa Language Declaration ke karan hota hai.

News blogs ko dekha hoga. Unke posts title me kahin bhi in Hindi keyword nahi hota fir vo post Hindi readers ke search karne par first number par aata hai. Kyu? Kyunki unke blog me XML Lang set rahta hai.

Apne google search results me, ek option dekha hi hoga “हिंदी में परिणाम देखे” To is parinaam me jitani bhi websites aati hai. Vo sab is SEO trick ke karan hi hoti hai.

Language Declaration Karna Kyu Jaruri

Blog ki ranking increase karne ke liye ye bahut helpful hai. Google hamari search ki gayi gatividhiyon ko track karta hai. Isliye unhe pata hai ki log kis bhasha me post padhna pasand karte hain. To vo apne user tak uski pasand ki bhasha wali post pahunchane ke XML Language ki madad leta hai.

Example – maan lijiye ki apka blog Bangali bhasha me hain aur apne blog me ideally Bangali bhasha ko set kiya hua hai aur agar apne kisi bhi post me “in Bangali” keyword use nahi kiya. To bhi agar koi user ye search kare ki “website kaise banaye in Bangala” to bhi apke blog ke posts results me aayenge. Kyonki apke blog ki bhasha hi Bangali hai to keywords use karne ki kya jarurat.

Simple sa fanda hai ki jab blog ka Ideal Language Hi Bangali hai to sare content bhi bangali me hi honge. Ye set kar dene se Google ko hamare posts ki juban samajhne ke liye keywords nahi check karna padta, Google ko kam mehnat me hi unke users ke demand wali post mil jati hai. To is tarah se hamare blog ki traffic increase hone me madad milti hai.

Sabse important thing ye hai ki kisi bhi website me, Website Translation ka option show hota hai. Vo isi karan hota hai. Google robot jaan jata hai ki ye blog kisi other language me hai aur reader ye bhasha nahi padhata. Tab vo blog ko translate karne wala option show karta hai aur ye feature bhi traffic badhane me bahut madadgar hota hai.

Ideally Language Error Check Kaise Kare

Ap ek baar Varvy SEO tool me jakar apni website ko check kar ke dekhiye. Isme apko apni website ki SEO related sari problems ke bare me pata chal jayega.

seo-checker-tool-found-language-not-declared-ideally

Ye dekhiye, agar apki website par aadarsh bhasha ghoshit nahi hogi. To apko Language Not Declared Ideally show karega. Is problem ka, website SEO par jyada nahi, lekin thoda asar to padega. Jyadatar log is chij ko website SEO ke liye jyada jaruri nahi mante. Unka kahana hai ki keywords to hai hi language declared karne ke liye. To alag se kya set karne ki kya jarurat?

Lekin meri najar me ye ek blog ke liye Important Part of SEO hai. Isliye is post me ham aapko ye problem fix karna bata rahe hai.

Ideally Language Declare Kaise Kare

Blogger me website ki mool bhasha ki pushti karne ke liye koi option nahi hota. Hame blog language set karne ke liye template me HTML coding karni hoti hai. Jo ki bahut aasan hai. (phone se template kaise edit kare)

Pahle ap is 👇 code ko copy kijiye.

lang='hi' xml:lang='hi' 

Red color ke “hi” me apko apne website ka language code likhna hai. Ab blogger dashboard me jaiye. Theme me jaaye or Edit HTML me jaaye. Apko third line me hi <html dikh raha hoga. Apko bas isi ke bagal me language code (jo apne copy kiya hai) paste kar dijiye fir template save kar dijiye.

language-declared-ideally-html-code

Is image ko dekh lijiye. Apko bhi thik aise code paste karna hai. Iske baad apke blog par Language not declared ideally problem fix ho jayegi.

Indian XML Language Codes

Har bhasha ki alag-alag code hoti hai. Jaise Hindi ke liye”hi” or english ke liye “en”. Lekin english bhi har desh me badal jati hai English US, English Canada. To iske liye code kuchh is tarah ka hota hai. Jaise English US ke liye “en-us” or English Canada ke liye “en-ca”. Usi tarah English india ke liye “en-in” likhna hoga. Ham apko kuchh bhartiya bhashaon ka language code de rahe hain.

Assameseas
Bengali (Bangla)bn
Biharibh
Gujaratigu
Hindihi
Kannadakn
Kashmiriks
Marathimr
Malayalamml
Oriyaor
Punjabi (Eastern)pa
Sanskritsa
Sindhisd
Tamilta
Telugute
Urduur

To is tarah se aap apne blog ka Ideal Language Set kar sakte hai aur blog translation ka option bhi add kar sakte hain.

8 thoughts on “Blogger Blog Me Ideally Language Declare Kaise Kare”

  1. Hii Hansa,
    Mai bhi yahi template use kar rha hu or maine dekha ki aapke Blog post ka title or post text dono hi default template me diye gaye font se alag hai or bold hai mujhe iske bare me jankari chahiye mujhe bhi apne template me kuchh is taraha hi text bold karna hai taki visitors ko padhne me aasani ho.
    Mujhe aapke reply ka intejar rahega.

    Reply
  2. Hello,
    Me blogpost ko custom domain ke sath use karta hu. Mere Blog me category ke andar Sari post nahi show ho rahi he, meri catagory me 15+ post he lekin har ek catagory ke andar sirf 5-6 post hi show ho rahi he. esa kyu hota he. PLease iska koi solution batao.

    Reply
  3. Ye koi problem nahi hai.

    AAP jis category me jitne post rakhenge. Is category me utne hi post najar aayenge.

    Jaise: Agar apne 1 category me, 20 posts rakhe hain. To us category me par jaane par, 20th posts najar aaenge.

    Lekin agar kisi category par apne sirf 2 posts rakhe hain. To us category me jane par sirf 2 posts hi nazar aayenge.

    Reply

Leave a Comment