Blogger me Custom Robots Header Tags Kya Hai, Kaise Set Kare

Hello friends… Aapne Blogger ke Settings me Search Prefrernce ka option to dekha hi hoga aur isme Custom Robots Header Tags bhi dekha hoga to kya aap jante hain ki ye setting hamare blog ke SEO par kya asar dalti hai? Agar nahi! To aap sahi post padh rahe hain. Kyunki is post me ham apko Custom Robots Header Tags Kya Hai aur Kaise Set Kare. Ye Blogspot ka ek Advance SEO Feature har jo pure par asar karti hai.

Custom Robots Header Tags Kya Hai

Hamne apko Robots.txt File Kya Hai wali post me bataya tha ki jo Google robot hote hain. Vo pahle hamare blog ko scan karke check karte hain ki kounsi file ko Index karna hai, kise follow karna ya kise block karna hai. Custom Robots Header Tags bhi kuchh usi tarah google crawl robot ko instruction deta hai ki aap ye index kar sakte hai aur ye nahi.

Blogger-custom-robots-header-tags-kya-hai-or-kaise-set-kare

Us robots.txt aur custom robots header tags me bas fark ye hai ki wahan apko manually likh kar sabke liye ek file create karni hoti hai. Jabki aap yahan direct ek click se sabhi post, pages, images aur links ke liye instruction de sakte hain.

Hamne apko bataya tha ki kisi post ya page ko search result se block karne ke liye apko txt file me page aur post ka URL add karna hota hai.

Lekin Custom Robots Header Tags Set kar lene ke baad apko aisa karne ki koi jarurat nahi padti, kyunki aap direct post aur page par hi use noindex, nofollow, noarchive, nosnippet jaise kai importants instruction de sakte hain jo ki robots.txt file ke jariye har ek post ya page ke liye set karna mushkil hai.

Agar apne abhi tak Blogger par Custom Robots Header Tags Enable nahi kiya hai to abhi aap New Post Create kijiye aur dekhiye ki right side me apko Custom Robots Tags ka option nahi dikhega. Kyunki ye pahle se nahi hota, ise enable karna hota hai tabhi aap apne post me important Tags add kar payenge. To chaliye pahle apko ye batate hain ki Custom Robots Header Tags Kaise Set Kare, uske baad uska use karna batayenge.

Set Custom Robots Header Tags

Sabse pahle Blogger Dashboard me jaiye aur apna blog select kijiye.

  1. Setting me jaiye.
  2. Search Preference me click kijiye.
  3. Ab Custom Robots Header Tags ko Edit kijiye aur Yes select kijiye uske baad sare option khul jaayenge.
  4. Homepage me “all” aur “noodp” select kijiye.
  5. Archive and Search pages me bhi “all” aur “noodp” select kijiye.
  6. Default for Post and Pages par bhi “all” aur “noodp” hi select kare.
  7. Ab Save changes par click kar dijiye.

Apne finally Blogspot par Custom Robots Header Tags ki Setting kar li hai. Lekin apko in tino settings ka matlab aur use bhi to pata hona chahiye. In settings ka matlab samajhne ke liye apko saare Tags ko samajhna hoga. To chaliye apko saare Tags ka matlab batate hain.

All

All Tag ka matlab hai ki ap jitne bhi seach engines hai. Unko apne blog par sab kuchh allow karte hain. Yaani ki robots apke blog ko index bhi kar sakte hain, follow bhi kar sakte hain, archive bhi kar sakte hain aur post ko Snippet result me bhi show kar sakte hain. Yaani ki sab kuchh kar sakte hain.

Homepage par “all” kyu set karte hain? Homepage par hamare saare posts, links, images, labels, hote hain. To yahan par ham jo bhi set karte hain. Uska asar hamare pure blog par padta hai, saare Posts, Links, Labels sab par padta hai kyunki ye sab Homepage par aate hain. Isliye agar aap Homepage ke Custom Robots Header Tags me hamesha “all” set karna chahiye taki robots apke blog ko achchhe se crawl kar sake.

Archive and Search Pages par “all” kyu set karte hain? Yahan par hame do Tags ke liye robots ko instruction dene hote hain ek Archive ke liye dusra Search Pages ke liye. Pahle apko Archive ka matlab samjhate hain. Ham blogger me jo bhi post likhate hain. Google uski ek copy Cache Memory me rakhta hai aur ye simple text me hoti hai bina images ke. Archive me “all” set karke ham robot ko ye batate hain ki aap mere sabhi posts ko Archive kare, yaani ki uski ek duplicate copy apne “cache memory” me rakhe.

Agar ham Search pages ki baat kare to ham sabke ke blog me jo Search Bar laga hota hai. Usme kiye gaye search se aaye hue results ko hi Search Pages kahte hain. Ham apne blog par jo bhi search karte hain vo Tag ke madhyam se result pesh karta hai. Jaise ki agar aapne SEO search kiya, to jo result aata hai. Us page ka title bhi SEO hota hai. Ye Search Engine Optimisation ka ek aisa setup hai jo Template me kiya jata hai. Ye blog ranking ke liye bahut jaruri hota hai. Isliye Search Pages ko hamesha “all” karna chahiye taki robots ise bhi achchhe se crawl kare.

Default for Posts and Pages par “all” kyu set karte hain? Ye setting blog ke saare Posts aur Pages par directly apply hota hai. Isliye yahan par “all” set karte hain taki sabhi Posts aur Pages achchhe se crawl ho. Lekin agar kisi post par aap koi alag setting karna chahte hain to direct post par hi Custom Robots Tags ke jariye set kar sakte hain. Jaise ham Blog Pages ko “noindex” karwane ke liye karte hain.

Noindex

Noindex ka matlab hai ki aap robots ko Posts, Pages ya blog par maujud jitne bhi contents hai, unko indes karne se mana karte hain. Index karne ka matlab post ka Search Engine naam ke godam me jama ho jaana. Blog Optimise karne ke liye apko Google Webmaster Tool me Sitemap Submit karne ke liye kaha jata hai. Ye blog ko index karne ke liye hi kiya jata hai.

To apne kabhi gaur kiya hoga ki apke blog me 20 Posts hai, lekin search engine robot ne sirf 18 Posts hi index kiye hain. Yaani ki apke 2 posts godam me jama nahi hue. To agar ham kisi post ko index karwane se rokna chahte hain to “noindex” ke jariye kar sakte hain.

Homepage par “noindex” set kyu nahi karna chahiye? Jaisa ki hamne bataya ki Homepage par blog ka sab kuchh rahta hai. To agar aap yahan par “noindex” set karte hain. To dheere-dheere apke blog ke sare posts index se bahar ho jaate hain. Yaani ki Google godam se apke sare posts bahar ho jayenge. To agar aap blog rank karana chahte hain, to bhul se bhi Homepage ke liye Custom Robots Header Tags me “noindex” setting na kare. Haa agar aap personal blog banate hain tab iska use kar sakte hain.

Archive and Search Pages par “noindex” set kyu nahi karna chahiye? Hamne apko in dono ka matlab bata diya hai. To agar yahan “noindex” set karte hain to apke posts ko apne Cache Memory me save nahi karega. Iska nuksan ye hoga ki bhavishya me agar kisi ne apki post ki copy ki aur apne Google ko complaint ki, to Google ko apke sach bolne ka koi sabut nahi milega. Kyunki, Google Cache file ko dekh kar hi pata lagata hai ki konsi post, pahle likhi gayi hai. To isliye yahan par noindex kabhi set naa kare.

Search Pages ka matlab aap jaan hi gaye hain. To agar aap yahan par noindex set karenge to Google ko pata hi nahi chal payenga ki apke visitors, apke blog me kya-kya search kar rahe hain. To is karan Crawl boat ye bhi nahi jaan payega ki apke blog me konsa category jyada search kiya aur is hisab se vo search results me apke post par Category show nahi kar payega.

Search Result me post title ke niche, blog URL ke baad jo Category show hota hai. Vo isi karan show hota hai ki shayad vo visitor (jisne search kiya hai) apke blog me aane ke baad sabse jyada wahi category search karte hain ya visit karte hain. To Google direct unko search result me hi category show kar deta hain ki aap blog me jaane ke baad category search karne ke bajay sidhe yahin se chale jaaye.

Default for Posts and Pages par “noindex” set kyu nahi karna chahiye? Isliye nahi karna chahiye kyunki yahan par agar aap noinex set karte hain to apke blog ke saare Posts and Pages Search Engine se hat jaayenge. Haan agar apko koi ek post index nahi karwana chahte hain to aap Post ki Settings me jakar Custom Robots Tags me jakar noindex set karte hain.

Nofollow

Nofollow Tag Links ke liye hota hai. Ye robots ko batata hai ki apko links follow nahi karne hai. Follow link kya hota hai? iska javab apko Backlinks Kya Hota Hai post me milega. Ap abhi ke liye bas itna samajh lijiye ki ye bhi Blog SEO ke liye bahut jaruri hota hai.

Homepage par “nofollow” set kyu nahi karna chahiye? Agar ap yahan par nofollow set karenge to dusre blogs ke links ke sath-sath apke blog ke bhi sare links nofollow ho jayenge. Jo apki blog ranking ko bahut nuksan pahuchayega. Kyunki apne blog ke kisi bhi link ko kabhi bhi nofollow nahi karna chahiye.

Archive and Search Pages par “nofollow” set kyu nahi karna chahiye? Jaisa ki aap jaan gaye hai ki Archive ka matlab apke post ko Cache Memory me rakhna, jo ki ek simple text hoti hai. To yahan ye setting apply nahi hoti.

Default for Posts and Pages par “noindex” set kyu nahi karna chahiye? Jaahir si baat hai, saare posts par maujud apne aur dusre blog ke saare Internal Links nofollow ho jayenge. To aisa na kare to hi behtar hai.

None

None ka matlab hai “kuchh nahi”, ap robots ko sidha ek shabd me kahte hain ki apko yahan par kuchh nahi karna hai, na index karna hai, na follow karna hai aur na hi archive karna hai, matlab kuchh nahi karna hai. Is blog ke darwaje robots ke liye band hai.

Homepage par “none” set kyu nahi karna chahiye? Yahan par none set karke ap robots ko ye kahte hai, “khabardar, jo is blog me jhanka bhi to.” To yahan ye set karne ka matlab, apne blog ka murder karna hai. Lekin agar ap personal blogging karna chahte hain to ye setting apke kaam ki hai. Isase apka blog, personal diary ki tarah ban jayega.

Archive and Search Pages “none” set kyu nahi karna chahiye? Yahan par bhi Archive karne ke liye mana kar rahe hai.

Default for Posts and Pages “none” set kyu nahi karna chahiye? Agar apne yahan par ye setting ki to apka koi bhi post index, follow ya archive nahi hoga yaani ki kuchh nahi hoga. Isliye yahan par bhulkar bhi ye setting naa kare.

Agar apne homepage ke liye “none” set kar diya hai to Archive and Search Pages aur Default for Post and Pages me ise set karne ka koi matlab nahi.

Noarchive

Archive ka matlab aap jaan hi gaye hain. To jab aap apni blog ki ek duplicate copy nahi chahten hain, tabhi is vikalp ka istemal kare.

Homepage par “noarchive” set kyu nahi karna chahiye? Jaahir si baat hai, homepage kisi bhi ka chehra hota hai aur chehre ko hi aap dhak denge to google apke blog ko kaise pahchanega? Archive me blog rakhkar ek tarah se ham Google ko sabut de rahe hote hain ki ye meri blog hai aur is par main work kar raha/rahi hu.

Archive and Search Pages “noarchive” set kyu nahi karna chahiye? Kyunki ye same chij hai, to yahan par ap jo set karenge uska asar Search Pages par padega. Jahir si baat hai ki search pages ko archive nahi kiya jayega. To ise bhi tik (✔) na kare.

Default for Posts and Pages “noarchive” set kyu nahi karna chahiye? Jisa ki aap jante hain ki ye option sabhi Posts aur Pages par direct apply hote hain. To ise bhi set na kare, warna sare posts noarchive ho jayenge.

Nosnippet

Nosnippet apke blog post ko kabhi bhi Rich Snippet me nahi aane deta. Rich Snippet, search result ka ek aisa result hota hai jahan apke post kuchh parts result me hi show hote hain. Isme apke post ke heading ke sath-sath image, paragraph aur number list bhi aa jate hain. Rich Snippet blog ke liye to nahi, Lekin traffic ke liye bahut important hota hai. Adhik jankari ke liye meri ” Structure Data Kya Hai” post podhe.

Homepage par “nosnippet” set kyu nahi karna chahiye? Agar Homeage par hi “nosnippet” kar diya, to blog ke sare post rich snippet se bahar ho jayenge. To yahan par ise ignore kare.

Archive and Search Pages par “nosnippet” set kyu nahi karna chahiye? Yahan par ye setting apply nahi hote, to ise iase hi chhod de.

Default for Posts and Pages par “nosnippet” set kyu nahi karna chahiye? By default blog ke saare posts and pages, Rich Snippet se bahar ho jayenge.

Noodp

Ye ek search boot hota hai jo apke blog directory ko crawl karne se rokta hai. Blog directory me apke email, apki bio aur other personal information shamil hoti hai. To agar aap ise select “nahi” karte hain to google apki post ki search result description me apke email aur bio bhi show kar sakta ya aisa description show kar sakta hai, jiska apke post se koi lena dena na ho.

Homepage par “noodp” set kyu karna chahiye? Jab apke blog ko koi search karega to description bilkul useless aur matchless aayega. To ise hamesha tik rakhe.

Archive and Search Pages par “noodp” set kyu karna chahiye? Taki Google hamare email ya anya personal information Archive na kare. Search Pages par ye apply nahi hota.

Default for Posts and Pages par “noodp” set kyu karna chahiye? Agar yahan aapne noodp set nahi kiya to search result me, apke post description bilkul useless honge, jo blog SEO ke liye bahut bura hai. To yahan par hamesha noodp select rakhe.

Notranslete

Google apne users ko koi bhi blog ya website translate karne ka option tab deta hai jab users vo bhasha nahi janta. Hamne iski puri jankari Google ki bhasha kaise badle post me di hai. Google Languege Setting me jo bhasha apne select ki hui hai, unke bajaye jab aap dusre bhasha wale blog me jaate hain. Tab Google translate ka option deta hai. Aur agar na bhi de to Chrome Browser me translate option rahta hi hai.

Ye offer is baat par bhi nirbhar karta hai ki apne jo blog visit kiya hai, uski Ideal Languege Kya Hai? Jiase ki aapne Google Languege setting me English aur Hindi set ki hai, aur aap kisi Bangoli bhasha ke blog me visit kiya hai. Lekin blog ki Ideal Languege me “English” set kiya hai. To Google apko Translation ka option show nahi karega.

Homepage par “notranslate” set kyu nahi karna chahiye? Agar aap yahan par notranslate set kar denge to Google apke blog ke kisi bhi page par translator offer nahi karega. Kyunki homepage par blog ki sabhi chijen hoti hain, posts, pages, categories, sab kuch hota hai. Isliye yahan ye set naa kare.

Archive and Search Pages par “notranslate” set kyu nahi karna chahiye? Yahan par ye setting apply nahi hoti, Isliye ise aise hi chhod de.

Default for Posts and Pages par “notranslate” set kyu nahi karna chahiye? Apke sabhi Posts aur Pages default notranslate par set ho jayenge jiske karan apke posts me translate ka option nahi aayega. Aisa na hone ki wajah se ho sakta hai ki dusri bhasha ko samajhne wale blog par aakar hi chale jaaye. To yahan kabhi bhi notranslate set na kare.

Noimageindex

Image hamare blog SEO me bahut madad karta hai. Ek SEO Friendly Image, 1000 words ke barabar hota hai. To agar aap Custom Robots Header Tags me “noimageinex” set karte hain to blog ka koi bhi image index nahi hoga.

Homepage par “noimageindex” set kyu nahi karna chahiye? Yahan par noimageindex seting karne se blog ke saare images dheere-dheere deindex ho jayenge yahan tak ki apka Blog Logo bhi index nahi hoga.

Archive and Search Pages par “noimageindex” set kyu nahi karna chahiye? Ye setting yahan par apply nahi hoti.

Default for Posts and Pages par “noimageindex” set kyu nahi karna chahiye? Apke sare posts ke Images index hona band kar denge, jo apke blog ranking ke liye bura sabit hoga.

Unavailable_after:

Bahut sari topic aisi hoti hai, jo ek tarikh ke baad expire ho jati hai. Jaise Amazon ne koi offer nikala, aur vo offer 30 October tak hi hai. To agar aap is topic par koi post likhte hain, to vo post 30 Ocotber ke baad bekar ho jayegi. To aisi hi posts ke liye ye setting di gayi hai. Yahan par aap jo bhi tarikh entry karte hain, uske tarikh ke baad apki post search engine se hat jati hai.

Homepage par “unavailable_after:” set kyu nahi karna chahiye? Kyunki Blogging ek long-term business hota hai aur ye option short-term ke liye diya gaya hai. To yahan par is setting ka koi use nahi hai.

Archive and Search Pages par “unavailable_after:” set kyu nahi karna chahiye? Ham sure nahi hai, lekin me khyal se agar aap yahan unavailable_after: ka use karenge to us tarikh ke baad cache memory se apki posts hata di jayegi. Kyunki Aechive karne se hamari post Google Cache Memory me save hoti hai. To jahir si baat hai ki aap use unavailable_after: karne ke liye kahenge to vo aisa hi karega na. To ise bhi ignore kare.

Default for Posts and Pages par “unavailable_after:” set kyu nahi karna chahiye? Apke sabhi posts aur pages us tarikh ke baad se search engine se gayab hona shuru ho jayenge jo aap yahan set karenge.

Single Post par Custom Robots Tags ka Use Kaise Kare

Upar hamne apko Custom Robots Header Tags ke naam aur use bata diye hain. Ab ham apko post par iska use karne ke bare me bata rahe hain. Blogger me jab ap new post likhte hain. Tab post ki dahini taraf post settings me apko sabse Niche “Custom robots tags” ka option milta hai. Isme upar bataye sare 10 options diye hain, Jiska istemal aap apni jarurat ke hisab se kar sakte hain.

Blogger-custom-robots-tags-post-me-kaise-use-kare

Agar yahan par koi setting karna chahte hain to sabse pahle “default” ko untik kijiye, uske baad hi aap koi dusri setting kar paiyega.

Dosto… ham jante hain ki ye post bahut lamba ho gaya hai, lekin hame ummid hai ki ye post apke liye useful sabit hui hogi aur ab aap Blogger ki Custom Robots Header Tags ke bare me achchhi tarah se jaan gaye honge.

3 thoughts on “Blogger me Custom Robots Header Tags Kya Hai, Kaise Set Kare”

Leave a Comment