Blog website ke liye Feedburner rss account create kaise kare.

feedburner-kya-hai-account-kaise-banaye
Feedburner rss

Hello friends… Is post me ham apko blog website ke liye Feedburner account kaise banaye or Feedburner kya hai. Iski puri jankari denge. Kyunki blog website ke liye sabse jyada populer feedburner email delivery service hai. Jiski madad se apke blog ke subscribers ko new post ki notification, uske email address par direct mil jati hai. Ye ek bahut achchha madhyam hai apne readers ko, hamare blog website se jode rakhna ka. Ek achchha blogger feedburner service jarur use karta hai.

Feedburner kya hai:

Feedburner ek email delivery service hai. Jise google ne blog website ke new post ki notification all subscribers ko automatic send karne ke liye banaya hai. Or ye service bilkul free hai. Jab koi visitors apke blog ko subscribe karta hai. Tab hamare new post karte hi, unke email me new post ki notification chali jati hai. Or vo hamare new post ko padhne ke liye hamare blog par visit karta hai. Isase hamare blog ko traffic milta hai. Sath hi hamare old visitors hamse jude bhi rahte hain. Agar ap Feedburner use karte hain to isase apke blog website ko bahut fayda hota hai. Ap bhi bahut hi aasani se feedburner par account bana sakte hain.

Feedburner account kaise banaye:

Sabse pahale ap Feedburner website me jaiye. Fir apne gmail address or password se login kar lijiye.

Submit-blog-website-url
Submit blog website url

Apko aisa page milega.

  1. Yahan apko website url dalna hai. Url bilkul sahi hona chahiye. Tabhi feedburner ID ban payegi.
  2. Fir “I am a podcaster!” Par tik (✔) lagaiye.
  3. Ab next kar dijiye.
create-feedburner-identify-feed-source
Feed source
Ab apko aisa page milega. Apko pahla option select karna hai. Uske baad next kar dijiye.
create-feedburner-feed-address
Set title

Yahan apko apke blog website ka feed address mil jayega. Ab next kar dijiye.

your-feedburner-address
Your blog feed url
Upar apko jo url dikh raha hai. Yahi apke blog website ki feed ID hai. Use yaad kar lijiye, ya copy kar lijiye. Ab next kar dijiye. Ek baar fir se next kar dijiye.
feedburner-stats-automatically-tracks
Set feedburner stats

Ab Apko aisa page milega. Isme kuchh options hain. Jo apko select karne hai.

  1. Clickthroughs ko select kare. Ise select karne se, visitors feedburner ki link par click karte hi, apke post par redirect ho jayega.
  2. Is option ko ap tab select kijiye. Jab ap blog me enclosure link (podcast download) use karte ho. Tab ye select karna apke liye fayademand sabit ho sakta hai.
  3. Ye select karne se ap feedburner ki or bhi kai suvidhaon ka labh utha sakte hain.
  4. Ab next kar dijiye.

feedburner-is-ready.jpg
successfully updated feedburner

Apka feedburner account ban chuka hai. I hope ap samajh gaye honge ki feedburner par account kaise banate hain or feedburner kise kahte hain. Ab apke blog website ki feed ID ko blog se blog se connect karna hai.

Backlink kya hai or kitne types ki hoti hain.
Website banane se pahle kya planning kare.

Feedburner feed url ko blog se kaise jode:

Feedburner feed ID ko blog se kaise add kare. Ye batate hain. Apne blogger dashboard ko open kijiye.

blogger-add-feedburner-url
Blogger add feed url
  1. Ab ap settings me jaye.
  2. Is box me feedburner url (feed ID) rakhiye.
  3. Ab Save kar dijiye.
Apka blog feedburner url se connect ho chuka hai. Hamare blog ke new post notification delivery pane ke liye, hamare blog ko subscribe kare.

Leave a Comment