Blogger ke liye full SEO friendly images kaise banaye. Full guide.

how-to-create-full-seo-friendly-image-for-blog

Hello friends… Agar ap blogging karte hain. To apko pata hoga ki ek blog post me, ek image, 1000 shabdo ke barabar hota hai. Isliye har post me kam se kam ek image hona bahut jaruri hai. Lekin sirf image hi upload nahi karna hota hai. Balki khud se banayi hui image upload karna hota hai. Taki ham kisi bhi tarah ke copyright ke mamle me na fase. Or image full SEO friendly hona chahiye. Tabhi vo apke ek blog post ke liye. 1000 shabdo ke barabar ban pata hai. Agar apka image SEO friendly hai. To apke blog ko 20% organic traffic mil sakti hai. Yani ki aise visitors bhi aa sakte hain. Jisne apke post se related search bhi na kiya ho. Lekin sirf image ki wajah se vo apke blog me aa sakte hain. Or ye kaise hota hai ? Aj isi vishay par baat karenge or ye bhi ki full SEO friendly image kaise banaye.

Blog post ke liye image kyu jaruri:

Post me image hona isliye jaruri hai. Taki jo post hai. Vo visitors achchhe se samajh paye. Kai visitors aise hote hain. Jo apke post ki bhasha (language) ko nahi jante. Vo bhi sirf image ko dekh kar post samajh jate hain. Or ho sakta hai ki vo regular apki website follow kare. Post ka look bhi achchaa lagta hai. Image se apke post ka SEO bhi hota hai. Or ek image se bhi ap 20% tak organic traffic paa sakte hain.

Useful posts:

Image se traffic kaise mil sakta hai.

  • Google hamare har post ko index karta hai. Jiske liye sabse pahle vo website ke backlink ko check karta hai. Uske baad vo image par focus karta hai. Padhe backlink kya hai.
  • Blog me image upload karne ke baad, ham usme title or alt text set karte hain. Or yahi title or alt text google index kar leta hai. Title or alt text hi google ko batata hai. Ki image kis topic par hai ? Or us topic se related keywords koi search kare. To google hamare image ko bhi search result me dikhata hai.
  • Apne google search result me dekha hi hoga. Ki ap jo bhi search karte hain. Usme apko us topic se related image bhi najar aate hain. To images result me, image kaise aate hain. Asal me vo sare images SEO friendly image hote hain. Or kisi na kisi website ke hi hote hain. Agar kisi ne vo image dekha. To use image ke saath ek option bhi “Visit the page” milta hai. Or agar kisi ne ise visit kar diya. To to vo sidhe apke post tak pahunch jate hain. To is tarah se ap image ke jariye organic traffic paa sakte hain.
This-type-of-wright-image-for-blog-post

Ye image dekhiye. Jis image me title add rahta hai. Google search usi image ko search result me dikhata hai. Kyuki jab bhi koi image create karte hain. To uska default name kuchh numbers ka hota hai. To numbers se google ko kaise pata chalega ki ye image kis chij ki hai ? To title or alt text ko set karne se yahi fayda hota hai. Or image size kam hone se blog ki loading speed bahut achchi rahti hai.

Blog image kaisa hona chahiye or SEO friendly kaise banaye:

  • Apne blog ke liye image khud banaye. Taki copyright ka mamla naa bane.
  • Image quality achchi honi chahiye.
  • Image ka naam jarur likhe. Image se related words ko use kare.
  • Image ki size kam honi chahiye. Agar image ki size jyada hui. To blog ki loading speed bahut slow ho jayegi. Jisaka natija hoga ki visitors apke blog post ana band kar denge.
  • Image upload karne ke baad title or alt text jarur set kare.

Blog ke liye image kaise banaye ?

Kyuki blog ke liye khud ka image banana jaruri hai. To ham apko image banane ke simple steps batayenge. Ap sabse pahle”Photo Editor app” install kar lijiye.

Ap chahe to koi or dusra app bhi use kar sakte hain. Lekin hamne sare screenshot isi app se liye hue hain. To isi app me apko jyada aasani hogi samajhne me.

Photo editor-app-logo
Photo Editor
Ye app apko play store me aasani se mil jayega. App install karne ke baad open kare. Ap niche video bhi dekh sakte hain.

Blog-new-image--photo-editor-app-create-new-image

1. Image:

Ab apko aisa page milega. Naya image create karne liye New par click kare.

2. Image:

  1. Yahan image ki width × height likh lijiye.
  2. Yahan par image ko rename kar lijiye.
  3. Yahan colour choose kar sakte hain. Agar yahan colour set kar liya. To baad me apko color badalne ke liye drowning nahi karna padega.
  4. Ab OK kar lijiye.
Blog-create-new-image-drowing-and-save-kijiye-photo-editor

1. Image:

Ab yahan ap drowning option select kijiye. Agar ap colour change karna chahte hain to.

2. Image:

Ab ap aise page par aa jayenge.
  1. Yahan par apko pencil or rubber ke option milega. Drowning karne ke liye pencil, or erase karne ke liye rubber ko select kijiye.
  2. Yahan colour chun lijiye. Jis rang me drowning karna chahte hain.
  3. Yahan se ap pencil or rubber ka size or blur ghata/badha sakte hain.
  4. Yahan apko anya options mil jayenge. Jaise -: opacity, elign guide, perspective.
  5. Yahan se ap edition ko undo/redo kar sakte hain.
  6. Colour ho jane ke baad upar ✔ click kar ke done kare.
Blog -new-image-create-add-text-and-image-then-save

1. Image:

Jab colour drow ho jaye. Tab Text/Image select kijiye. Is option me ap sab kuchh kar sakte hain.

2. Image:

  1. ➕ Par click kare. Uske Baad sare options najar aayenge.
  2. Yahan se ap text edit kar sakte hain.
  3. Yahan se image edit kar sakte hain.
  4. Yahan se ap shape edit kar sakte hain.
  5. Yahan se ap emoji edit kar sakte hain.
  6. Yahan se kisi bhi Text, image, shape ya emoji Ko re-edit kar sakte hain.
  7. Yahan se kisi bhi chij ko, jise ap nahi chahte. Use delete kar sakte hain.
  8. Yahan se apko Text, image, shape or emoji ko edit karne ke kai options mil jayenge. Jaise -: line spanning, latter spanning, wrap, opacity, blur shadow etc.
  9. Yahan se ap content ko lock kar sakte hain. Hide or unhide kar sakte hain.
  10. Jab sab set ho jaye. To upar ✔ click kar ke done kar dijiye.
Blog-create-image-edit-text-outline-background-colour-and-save

1. Image:

Jab ap TT (text edit option) par ap click karenge. To is page par pahunch jayenge. Pahle ap Text likh lijiye.
  • Yahan ap text fiil kar sakte hain. Text top or text bottom colour choose kijiye. Multiple colours bhi use kar sakte hain. Blur option ka bhi use kar sakte hain.
  • Yahan ap text outline fiil kar sakte hain. Text outline top or text outline bottom colour choose kijiye. Multiple colours bhi use kar sakte hain. Blur option ka bhi use kar sakte hain.
  • Yahan ap text background fiil kar sakte hain. Yahan bhi background top or background bottom colour choose kar sakte hain. Multiple colours ka bhi use kar sakte hain. Blur option ka bhi use kar sakte hain.
  • Text colour set hone ke baad, Ok kar lijiye.

2. Image:

Yahan apne text ko set kariye. Jahan bhi use rakhna ho. Or sab set ho Jane ke baad, ✔ par click kar ke done kare.
Blog-post-new-image-ko-rename-kare-seo-ke-liye-or-save-kijiye

1. Image:

Apke blog post ke liye. New image ban chuki hai. Ab bari hai ise save karne ki. Iske liye download icon par click kare.

2. Image:

Ab ye option ayega.
  1. Pahle Save as par click kare. Fir pop-up window khulegi.
  2. Yahan image folder select kar lijiye.
  3. Yahan image ko rename kar sakte hain. Agar shuru me image name nahi likha tha to.
  4. Ab OK kar dijiye. Apka image save ho chuka hai.
Ab bari hai image ke size ko kam karne ki. Yani ki apko image compress karna hoga. Image compress karne ki liye ap image compresser app install kar sakte hain. Ya fir ap image compress website ka bhi use kar sakte hain. Lekin website se compress kiye hue image ko apko wapas se rename karna pad sakta hai. Kyuki website me jab image compress hoti hai. To naam kuchh badal sakta hai. Lekin fir bhi ham apko kuchh image compress website bata rahe hain. Ap apni suvidhanusar istemal kar sakte hain.
  • http://compressimage.toolur.com is website me ap image ko compress, resize, PDF to JPG or web proxy tak ka use kar sakte hain. Or iski khas baat ye hai ki apke image ko resize bhi nahi karna hota hai. Isme image compress kar ke jab ap image download karenge. To uska naam image_name_123p.jpg hota hai. Or image quality bhi perfect hoti hai.
  • https://compressnow.com ye meri favourite website hai. Kyuki isme ap khud select kar sakte hain ki apko kitni size ki image chahiye. Or image quality bhi bhi best hoti hai. Or image name bhi image_name_copressed.jpg hoti hai.
  • http://jpeg-optimizer.com ye website apke image ko compress or resize karne ke sath-sath optimise bhi karti hai. Isme ap online file reduce bhi kar sakte hain.
  • https://www.reduceimages.com ye sabse best image compresser website hai. Kyuki isme ap image ko compress or resize karne ke sath-sath image size bhi select kar sakte hain. Or sabse badi baat ye ki apko baad me image ko rename bhi nahi karna padta hai.
Ye to rahi online image compress karne ki baat. Lekin online compress karne me kuchh problems bhi ho sakte hain. Jaise net slow hona or ek baar me ek hi image compress kar sakte hain. To iske liye ap ek achchaa sa compress app download kar lijiye. App se ap multiple images ek sath compress kar sakte hain. Ap Compress image app download kar sakte hain. Ham khud is app ko use karte hain.
Compress-image-for-blog-post-speed-increase-karne-ke-liye
  1. Yahan click kare. Image select karne ke liye.
  2. Ab jis-jis image ko compress karna ho. Use ✔ laga kar select kijiye.
  3. Ab upar ✔ par click kar de.
  4. Apka image compress ho chuka hai. Agar ap old file ko delete karna chahe. To direct yahan se delete kar sakte hain. Ab OK par click kar ke image save kar lijiye. Apka image blog par upload hone ke liye taiyar hai.

Ab blog post par aaiye. Or apni compress ki hui image upload kariye. Agar image upload karna nahi jante. To ye “blogger me image kaise upload kare” post padhe. Image upload karne ke baad, image par click kare. To apko kuchh options milenge.

Blog-post-upload-new-image-then-add-properties-for-website-full-seo
  • Pahle to size select karna hai. To ap original size select kijiye. Kyuki isase image quality achchhi bani rahti hai.
  • Fir ap left centre or right ko apne hisab se set kar lijiye.
  • Add caption me ap jo bhi likhenge. Vo image ke saath najar aayegi.
  • Properties se hi ham image ka SEO ka karte hain.
  • Remove se ap image ko hata sakte hain.
Properties par click karne se ek pop-up window khulegi.
  1. Title Text me image ka title likhiye.
  2. ALT text me ap image ko thode vistaar se likhiye. Yahan ap jo bhi likhenge. Vo image URL banega. To isme image se jude keywords dhyan se rakhe. Yahi image ko full SEO friendly banata hai.
  3. Ab OK kar dijiye.
Apka full SEO friendly image blog post me upload ho chuka hai. Image kaise banaye ? Ye janane ke liye ap video dekhiye. Or hamare blog ke naye post ke notification pane ke liye. hamare blog ko subscribe kijiye. 😊

8 thoughts on “Blogger ke liye full SEO friendly images kaise banaye. Full guide.”

  1. mam aapki sari post best hai or aisa post kisi or blogger ya wordpress wale ne nhi likhi hai aapke website ki jankari sab website se alag hai

    but mai aapse kuch help chahata hu

    aapne jo wapka ka details bataya hai leya wo mai apne blog pr add kr sakta hu

    aap ager permission de to

    aap mere email pr send kr de
    yes / no me please

    [email protected]

    Reply
  2. Agar ap meri post copy karna chahiye hain. To ham isaki ijajat nahi denge. Lekin ap jis bhi topic par likhana chahe. Uspar likhiye. Lekin apne tarike se. Kyuki agar ap hamse puchhkar bhi mere article Apne blog me dalenge. To bhi google ye Jaan jayega ki ye copyright hai. Or is Karan google apki website ko block bhi kar sakta hai. Lekin agar ap meri post ki link add kar sakte hain apni website me, agar apki website ka content bhi meri website ke jaisa hai to.

    Reply
  3. This means that the comments should not be spam. If they are spam, they will be moderated. There will be an option to place your website URL. Put your website or blog URL and hit submit. If the comment is approved by the moderator, you will get a backlink from the blog where you posted the comment. does blog commenting help seo

    Reply
  4. Yes. Comment moderate mode me hi sahi rahta hai. Taki koi bhi only promotion ke irade se comment na kare. Kuchh log sirf apni link comment karte hain. Joki spamming me aati hai. Or haan, hame kisi ko backlink dene me koi pareshani nahi hai.

    Reply

Leave a Comment