Blogger blog google search results me kaise laaye

Hello friends… Aj ham apko blog ko google search me kaise laye ? Ye batayenge. Google search console ke bare me batayenge. Ham blog bana lete hain. Badi mehnat se post likhate hain. Lekin agar vo kisi ko najar hi naa aaye, to kya fayda itni mehnat ka. Apka blog Google search me aaye. Iske liye apko, apne blog ko Google webmaster toot me submit karna hoga. Google webmaster tool yani Google search console.

Sabse pahle to ye samajh lijiye ki Google webmaster tool, Google ki hi service hai. Yahi par sare blogger apni site submit karte hai. Or unka blog Google search karne me dikhai deta hai. Sirf itna hi nahi. Isme or bhi features hain. Jo ki hamare website ke liye kafi useful hai. To ab jante hai ki blog ko Google webmaster tool me kaise submit kare.

Sabse pahle ap https://www.google.com/webmasters/tools me jaye. Fir apna Gmail or password daal ke login kijiye. Fir ap search console me pahuch jayenge.

Ap apko Add a Property par click karna hai.

Ab ek new window khulegi. Jisme pahle box me apni site ka full url dale. Jaisa ki image me dekh rahe hai. Fir add par click kare.

Ab aisa page aayega. Apko pahle apni site ko verify karna hoga. Verify karne ke liye Alternate method me click kare.

Ab aisa page aaega. Yahan apko pahle HTML Tag par click kare. Fir jo Meta tag code apko mile. Use copy kar le. Ab meta tag ko blog me save kare. Fir verify par click kare.

Meta tag code blog me save karne ke liye. New tab me blog open kare. Or apne blog me jaye.

Ab Template me jaye. Fir edit HTML me click kare.

Ab is image ko dekhiye. 4 number ki line me apko <head> code dikhega. Bas isi ke niche apko meta tag code ( jo apko google search console me mili hai ) paste kar dijiye. Jaise hamne kiya hai. Red mark me. Mera meta code hai. Ab code paste kar dene ke baad Save template par click kar dijiye.
Ab wapas search console me jaiye. Or Verify par click kar dijiye.

Submit hone ke baad aisa message aayega. Ab Continue par click kar dijiye. Ab search console me apko preferred domain set karna hai. Iske liye ye post padhe. Or sitemap submit karna hai. Sitemap kya hai, or sitemap submit karna kyu jaruri hai? Ye janane ke liye. Ye post padhiye.

Ab koi dikkat ho to comment kar ke jaruri puchhe. ☺

4 thoughts on “Blogger blog google search results me kaise laaye”

  1. Asal apne jitne bhi blog padhe hain. wahan sirf submit karne ke bare me bataya hai, verification ke bare me nahi. jabki bina verification ke blog submit nahi ho sakta. vo sabhi verification ke liye alag se post likhate hain. jabki ham dono kaam ek hi post me karte hain.

    khair, blog visit karne ke liye bahut bahut shukriyan.

    Reply

Leave a Comment