Blogger website me SSL certificate (HTTPS) installed hone ke baad kya kare

Hello friends… Ap ye jante to honge ki website security ke liye SSL certificate (secure sockets layer) install karna kitna jaruri hai. Sirf security ke liye hi nahi. Balki blog/website SEO ke liye bhi blog me SSL encryption hona bahut jaruri hai. Ham pahle hi bata chuke hain ki SSL or HTTP vs HTTPS kya hai. Or fir blogger site me https enable kaise kare. Is bare me bhi bata diya hai. To is post me ham ye baat karenge ki SSL certificate install karne ke baad kya kare. Kyunki iske baad SEO related problems create hoti hai.

blogger-website-ssl-certificate-https-installed hone-ke-baad-kya-kare
Secure server, blog ranking ke liye jaruri hai. Lekin blog URL HTTP to HTTPS karne ke baad SEO par bad effect bhi padta hai. Aisa isiliye hota kyunki apki site ka URL pahle http hota hai. Or SSL installation ke baad https se start hone lagata hai. Agar apki bilkul hi nayi website hai. Jise apne google search console me submit nahi kiya hai. Tab koi pareshani nahi hogi. Lekin agar apki website search console me already submit hai. Or vo serach engine me crawl karte hain. Tab apko problems jarur aayengi.

Https enable ke baad, SEO related bad effects.

  • Aapki sari post search console se deindex hone lagati hai.
  • Sitemap bekar ho jata hai.
  • Robot txt file bhi kaam karna band kar deti hai
  • 404 crawl errors bahut jyada aane lagte hain.
  • Same post ke do URL (with-http or with-https) hone se double content ki bhi samasya create hoti hai.
  • Kuchh dino tak organic traffic kam ho jati hai.
Ap soch rahe honge, ki jab blog ko 301 Permanent Redirect kiya hi hai. To fir ye problems kyu ?

To aisa isliye hota hai. Kyunki blog url http to https ho jata hai. Isaliye sabhi http url wali post deindex ho jati hai. Or isi wajah se jahan-jahan bhi hamne http url ko use kiya hai. Wahan click karne se kabhi-kabhi broken links create hoti hai. Jisase visitors apke blog tak nahi pahunch pate. Or baki ki sari problems bhi isi wajah se hoti hain. Ab batate hain ki https enabled ke SEO bad effects se kaise bache.

SSL certificate install karne ke baad kya kare:

Sabse pahle to aap sabra rakhiye. Kyunki Jis tarah blog ranking giri hai. Usi Prakar blog ranking increase bhi ho jayegi. Jab hamne apne blog me SSL install kiya tha. Tab hame bahut pareshaniyon ka samna karna pada tha. Kyunki hame bilkul bhi nahi pata tha ki SSL lagane ke baad kya karna chahiye. or is wajah se ham do mahine tak bahut pareshan rahe the. Meri blog ranking bhi do mahine tak bahut kharab rahi thi. Lekin aapko itna pareshan hone ki jarurat nahi. Aap mere bataye sabhi steps ko dhyan se follow kijiye.

Blogger ke important settings:

Sabse pahle aap ko template me kuch coding karni hogi. Iske liye pahle Theme ┬╗ edit HTML mein jaiye. Fir isЁЯСЗ </head> tag search kijiye.
<script>
$(document).ready(function()
{                       $(“a”).each(function()
{                           var i = $(this).attr(“href”);    
  var n = i.replace(http://www.yourdomain.com, “https://www.yourdomain.com“);                               $(this).attr(“href”, function() {               return n             })           })         });
</script>

Ab is ЁЯСЖ code ko copy kijiye. Or </head> tag ke upar paste kar dijiye.

Ab ЁЯСЗ is code ko search kijiye.

<b:include data= ‘blog’ name= ‘all-head-content’/>

Jab ЁЯСЖ ye code mil jaye. Tab niche ЁЯСЗ diye hue, pure code se replace kar dijiye.

<link href=’https://www.yourdomain.com/favicon.ico’ rel=’icon’ type=’image/x-icon’/>
<meta content=’blogger’ name=’generator’/>
<link href=’https://www.yourdomain.com/feeds/posts/default’ rel=’alternate’ title=’BLOGTITLE – Atom’ type=’application/atom+xml’/>
<link href=’https://www.yourdomain.com/feeds/posts/default?alt=rss’ rel=’alternate’ title=’BLOGTITLE – RSS’ type=’application/rss+xml’/>
<link href=’https://www.blogger.com/feeds/BLOGID/posts/default’ rel=’service.post’ title=’BLOGTITLE – Atom’ type=’application/atom+xml’/>
<!–[if IE]><script type=”text/javascript” src=”https://www.blogger.com/static/v1/jsbin/2591933621-ieretrofit.js”></script>
<![endif]–>
<meta expr:content=’data:blog.url’ name=’og:url:domain’/>
<!–[if IE]> <script> (function() { var html5 = (“abbr,article,aside,audio,canvas,datalist,details,” + “figure,footer,header,hgroup,mark,menu,meter,nav,output,” + “progress,section,time,video”).split(‘,’); for (var i = 0; i < html5.length; i++) { document.createElement(html5[i]); } try { document.execCommand(‘BackgroundImageCache’, false, true); } catch(e) {} })(); </script> <![endif]–>

Ab template me, website ke jitne bhi URL http ke saath lage hue hain. Un Sabko https se replace kar dijiye. Jaise – footer pages links, Menu baar etc. Ab template save kar dijiye. 

blogger ke setting ┬╗ search preference ┬╗ Robot txt edit me jaaye.

robot-txt-file-edit-http-to-https

Ab sitemap me https kijiye. Fir save kar dijiye.

Submit blog google search console:

Apne blog ko dobara se Google search console me submit kijiye.

search-console-submit-website-after-ssl-installation

Apki jo http wali site submit hai. Use waisa hi chhod dijiye. Or Add a property par click kar ke, https wali site Add kijiye. Padhe GWT me website kaise submit kare.

submit-sitemap-after-ssl-installation

Uske baad sitemap bhi dobara se submit kijiye. Lekin https wale website ke andar. Padhe sitemap kaise generate karte hain.

submit-robot-txt-file-after-ssl-installation
Ab robot txt file ko bhi update kare. Pahle Crawl ┬╗ Robot txt Tester me jaiye. Or http ko https se replace kijiye. Test ┬╗ Submit me click kijiye. Padhe – Padhe robot txt file kya hai or kaise submit kare.

Google analytics setting:
Ye setting isliye jaruri hai. Taki apko traffic ki sahi jankari mile. Google Analytics me jaiye. 
analytics-admin-setting
Ab sabse niche Admin me jaiye.
analytics-property-setting-after-ssl-installation
Ab Property Settings me jaiye. Http ki jagah https select kijiye. Or scroll down kar ke save kar dijiye. Yahan ka kaam ho gaya. 
Change all http links to https:
Ab ap yaad kijiye ki apne blog ki link apne kahan-kahan submit kiya hai. 
Jaise:
  • Facebook page par me link add karte hain. FB profile par bhi link add kar dete hain. 
  • Twitter me bhi add karte hain.
  • Instagram me link add karte hain.
  • YouTube channel par link add rahta hai. 
In sabhi links ko http to https me edit kar dijiye. Warna Robots.txt fetch error aane lagegi.

Sirf yahi nahi, balki har post ke internal links ko bhi fatafat edit kar dijiye. Kyunki sabhi internal links http se hi hogi. To ye change karna jaruri hai. Thoda time lagega. Par ye karna jaruri hai. 

Friends, agar ye sari settings karne ke baad bhi, blog address baar me green lock icon najar na aaye. To iska matlab ye nahi ki SSL certificate install nahi hua hai. Kisi-kisi website me aisa hota hai ki green padlock sirf browsing ke time me hi najar aata hai. 

Ab Apki sari settings ho chuki hai. To is post me apne jana ki blog website me SSL certificate install karne ke baad kya kare. Kyunki https enable hone ke baad, kai sare SEO related problems hoti hain. To apka is bare me janana bahut jaruri tha. Jo hamne bata diya.

7 thoughts on “Blogger website me SSL certificate (HTTPS) installed hone ke baad kya kare”

  1. Abhi apke sare post ke internal links http me hi honge. Thodi si problem lag rahi hai. But apke website me SSL certificate thik se install ho gaya hai. Kyunki SSL ka kaam browsing ko safe rakhna hai. Or apke website me browsing ke time Green padlock dikhai de raha hai. Iska matlab ki SSL thik se work kar raha hai.

    Or ap apki website ki link kahin bhi https ke sath dijiye. Warna redirect landing ki problem shuru ho jayegi.

    Reply
  2. bahut help full jankari hai lekin ek swal hai ke .. google console me jo property http se submit ki hai usko delete kar de ya nahi ..kyu ke humne hum https se new property jo add kar dee hai or site map bhi new add kiya hai

    Reply
  3. рдкрд┐рдЫрд▓реЗ рд╣рдлреНрддреЗ рдпрд╛рдирд┐ 13 рдордИ рдХреЛ рд╣рдордиреЗ HTTPS install рдХрд┐рдпрд╛ рдмрд╕ рдЙрд╕реА рджреМрд░рд╛рди 2 рдШрдВрдЯреЗ рдХреЗ рд▓рд┐рдП рдЯреНрд░рд╛рдлрд┐рдХ рдереЛрдбрд╛ рд╕рд╛ рдбрд╛рдЙрди рд╣реБрдЖ рдЙрд╕рдХреЗ рдмрд╛рдж рд╕рдмрдХреБрдЫ рдУрдХреЗ рд╣реЛрдиреЗ рдХреЗ рдмрд╛рдж рдЯреНрд░реИрдлрд┐рдХ рдореЗрдВ рджреЛрдЧреБрдирд╛ .. рдЬрд┐рд╕реЗ рджреЗрдЦрдХрд░ рд╣рдо рдпрд╣реА рдХрд╣рдирд╛ рдЪрд╛рд╣реЗрдЧреЗ рдХреА рдЖрдк рдПрдХ рдмреНрд▓рд╛рдЧрд░ рд╣реИ рддреЛ рд╕рдордп рдХреЗ рд╕рд╛рде рдЦреБрдж рдХреЛ рдмрджрд▓рддреЗ рд╣реБрдП HTTPS рдЬрд░реБрд░ рд▓рдЧрд╛рдпреЗ…………nice рдкреЛрд╕реНрдЯ рдЬреВрд╣реА …

    Reply

Leave a Comment