Internet pack khatm hone par, main balance katne se kaise roke.

Data-balance-khatm-ho-jane-ke-baad-main-balance-katne-se-kaise-bachaye

Hello friends… Aj is post me ham bahut hi important baat batane wale hain ki Internet pack khatm hone par, main balance katne se kaise roke. Agar ap is setting ko nahi karte hain. To kabhi bhi Internet MB khatm ho jane par, apka main balance kar jayega. Jo ki bhi nahi chahate honge. Aj koi aisa nahi hoga. Jo internet ke bare me na janta ho. Or internet ka use nahi karta ho. Lekin internet do tarike se chalta hai.

  1. Ya to data pack recharge karwa ke chalate hain. Isme ap limited data pack ka recharge karate hain. Or unlimited data pack bhi recharge karwate hain. Agar data pack limited hai. To utna data balance khatm ho jane ke baad. Apke main balance se paise katne lagte hain.
  2. Isme ap direct apne main balance par hi net chalate hain. Jis tarah call rate (shulk) hoti hai. Usi tarah net ke liye bhi ek nirdharit rate (shulk) tay ki gayi hai. Shayad 10kb ke liye, 10p katate hain. Ham sure nahi hai. Kyunki mera main balance ab nahi katata.
Main balance par to internet chalana namumkin hai. Kyunki sara din net se bahut sare kaam karne padte hain. Or main balance par internet chalana, bahut mahanga padta hai. Aise me data pack kharidna hi padta hai. Lekin problem tab hoti hai. Jab net use karte-karte, bich me hi net pack khatma ho jata hai. Or hame pata hi nahi chalta ki hamare main balance se paise kate jaa rahe hain. Is karan internet provider companies ko, laakho ka munafa har roj hota hai. Main account se balance katne ki problem tab hi hoti hai. Jab ham khud bhul jaye ki hamara data balance kitna hai or kab khatm hone wala hai. Maan lijiye ki abhi apne data balance check kiya. To apke paas abhi 25mb bache hue hain. To ap sochate hain ki thodi der net or chal sakti hai. Or ap net chalane lagte hain. Lekin bich me hi ap bhul jate hain ki apke paas sirf 25mb data hai. Or Android phone me 25mb jyada der tak nahi tikate. Or is wajah se apke main account se paise katne lagte hain. ₹ 2-3 kate to koi baat nahi. Lekin jab ₹ 25-30 kat jate hain. Tab bahut bura lagta hai. Kyunki ₹ 25-30 me to naya data pack recharge karwaya ja sakta hai. Hamare main account se paise isliye nahi katate. Kyunki data balance khatm ho jata hai. Balki isliye katate hain. Kyunki hamne sim me internet service ko band nahi karwaya hai. Is wajah se. Data balance khatm ho jane ke baad bhi, internet service chalu rahti hai. Or us service ka charge hamare main account se katata rahta hai. Agar main balance katane se rokna hai. To apko internet service ko band (stop) karna hoga. Jiske do tarike hain.

Ye bhi padhe:

Data balance khatm hone, main balance katne se kaise roke:

Step 1:

  1. Sabse pahle 1925 toll free number par call kare.
  2. Apko bhasha chunane ko kaha jayega. Apni bhasha chun le.
  3. Fir apse internet seva shuru karne, fir uske baad internet seva band karne ke liye puchha jaayega.
  4. Ap internet seva band karne ki request kijiye. Iska matlab ki data balance khatm hone ke baad. Apko internet service nahi milegi. Jab tak ap data pack recharge nahi karwa lete. Tab tak internet nahi chala payenge.

Agar aapko internet seva shuru karni ho. To isi number par call kar ke, internet seva shuru kar sakte hain.

Step 2:

Isme bas apko 1925 number par massage karna hai. Massage charge katega.

send-massage-1925-to-stop-cut-main-balance
  1. 1925 number par massage karna hai.
  2. Inbox me STOP type kare.
  3. Ab send kar dijiye. Ab apki internet service band ho jayegi.

Jab apko internet service shuru karwani ho. To 1925 number par, START likhkar massage kare. Internet seva shuru ho jayegi.

Internet service band karne ke baad. Aapke main balance se paise katane band ho jayenge. Agar apko internet chalana hai. To aapke paas data pack hona hi chahiye. Bina data pack ke ap internet nahi chala payenge. ☺

Leave a Comment